Mushkil Rastay 16

(farah ejaz, dearborn, mi USA)

Assalam-O-Alaikum.

Walaikum, Ah Meri Bachi..........

May Nay Drawing Room May Daqil Hotay Hi Salam Kiya To Akbar Mamooo Nay Salam Ka Adha Jawab Daiker Zore Zore Say Rona Shuroo Kerdiya...Pata Nahin Kiyun Unka Rona Mujhay Bara Banawati Sa Luga Tha............Shaid Amma Bi Nay Un Kay Fraud Ki Itni Kahaniyan Suayee Thin Kay Ab Unka Rona Mujhay Ajeeb Sa Luga Tha...Wo Akailay Nahin Ai Thay Saath May Mami Or Unkay Bachay Bhi Thay....Poora Tubbar Uth Kar Agaya Tha....

Array Meri Bachi Idhar Ao Beta Meray Paas Baitho..........Hai Zakira Chalay Gayee...Hai Meri Behan......Bachiyon Ko Kis Kay Saharay Chore Gayee...............

Wo Seenay Per Haath Maar Maar Ker Keh Rahay Thay....Or Mami Ka Rona Bhi Saath May Jari Tha....Mami Or Amma Bi Ki Kabhi Nahin Bunni Thi...Mami Ka Rawaiya Nani Jaan Kay Saath Bhi Bohoth Bura Tha....Nana Abba Kay Inteqal Kay Baad Say Wo Unkay Saath Bari Budtameezi Say Paish Ati Thin....Or Akbar Mamoo Ko Biwi Ki Koyee Baath Buri Nahin Lugti Thi..Unka Rawaiya Bhi Kaun Sa Maa  Kay Saath Acha Tha.....Ajeeb Sa Rawaiya Tha Unka Nani Amma Kay Saath....Meray Deegar Mamoo Or Amma Bi Nay Jub Yai Rawaiya Daikha To Unhay Phir Akbar Mamoo Kay Paas Janay Nahin Diya....May Chup Chap Purani Batain Sonch Tay Huay Drawing Room May Daqil Huee Thi .... Or Unkay Samnay Walay Sofay Per Baith Gayee Thi.................

Jao Us Kay Paas Baitho..........

Meray Baith Tay Hi Akbar Mamoo Nay Saath Baithi Mami Ko Ahista Say Kaha Tha.......Jo Meray Taiz Kano Nay Sun Bhi Liya Tha....Wo Uth Ker Meray Paas Akar Baith Gayeen......May Sapat Chera Liyai Unhay Or Unki Family Ko Daikh Rahi Thi......


Akbar Mamoo Jo Hona Tha Wo Ho Chuka....Allah Subhana Wa Tallah Say Amma Bi Ki Mughfirath Ki Dua Karain.................

May Nay Ahista Lehjay May Unsay Kaha Tha..................

Haan Tum Theek Kehti Ho Beta.....Lakin Tum Dono To Akaili Hogayeen Na...............

Wo Bolay To May Unhay Kiya Jawab Daiti....Khamooshi Say Unhay Daikhnay Lugi................

Mujhay To Hol Uth Tay Hain........Akaili Bachiyan Or Zaman Kitna Kharab Toba Toba............

Mami Pehli Dafa Bolin Thin............

Mami Hum Akailay Nahin Rehtin Kako Bhi Humaray Saath Hain.......Ore Waisay Bhi Alhumdullilah Hum Choti Bachiyan Thori Hain.......

Array Mulazima Hay Wo To....Koyee Bara To Hona Cha Yai Na Tum Logon Kay Saath....

Kako Ko Hum Or Amma Bi Nay Kabhi Bhi Naukar Nahin Sumjha Akbar Mamoo...........

Array Wah Tumharay Samujh Nay Say Kiya Hota Hay....Tumhay Aik Serparasth Ki Zaroorath Hay....Hairath Hay Kissi Nay Palat Ker Tum Logon Ko Daikha Bhi Nahin..................

Nahin Aisi Baath Nahin Hay Akbar Mamoo.........Shahab Mamoo Pakistan Ai Huay Thay Jub Yai Hadissa Hua Tha...Deegar Mamooo Bhi Do Hufton Kay Andar Pakistan Phonch Gai Thay........Sub Nay Hi Hummay Apnay Saath Laijanay Ki Koshish Ki Thi...Lakin May Nay Mana Ker Diya Tha.....May Apni Or Apni Behan Ki Achay Say Take Care Ker Sakti Hun........

Mujhay Unki Baton Say Kofth Honay Lagi Thi....Amma Bi Kay Saath Paish Anay Walay Hadsay Ki Itlah Unhay Bhi Day Di Gayee Thi......Lakin Lahore May Rehtay Huay Bhi Wo Nahin Ai Thay .Or Na Hi Kissi Qisam Ki Taziyath Ki Thi.....Or Ab Deegar Mamoon Per Nukta Cheeni Ker Rahay Thay....Jo Un Say  Ziyada Hummaray Humdard Thay...

Haan Yai Tum Nay Acha Kiya Beti Jo Unkay Saath Janay Say Mana Ker Diya...Ab May Agaya Hun Na Sub Theek Ho Jai Ga.....

Wo Bolay To May Chonki Thi...........

Acha Akbar Mamoo Mujhay Office Kay Liyai Dair Horahi Hay Or Phir Mill Bhi Jana Hay.....Iss Liyai Mujhay Ijazath Di Jiyai....Agar Meri Meeting Na Hoti To Ruk Jati Lakin Mazurath Chati Hun Aap Sub Say.......Kako Ko Keh Diya Hay .......Aap Log Khai Baghair Muth Jai Yai Ga.................

May Nay Dhukay Chupay Alfaz May Unhay Keh Diya Tha.........Aik Dum Mun Per Keh To Sukti Nahin Thi Kay Janab Hummay Aap Ki Koyee Zaroorath Nahin Hay...Wo Meri Baath Sun Ker Chonkay Thay....Lakin May Salam Kertay Huay Nikal Gayee Thi.....Mujhay Umeed To Thi Kay Meray Rawaiyai Say Wo Samujh Jaingay Kay May Bhi Amma Bi Ki Terha Unsay Dobara Taluq Rakhna Nahin Ker Na Cha Ti........
..............

..................

Wo Khamoosh Apni Library May Baithay Huay Thay....Abas Ki Amad Say Wo Mazi Ki Yadon Say Lot To Ai Thay ....Lakin Wo Larki Unhay Mustaqil Yaad Arahi Thi......Jis Nay Unhay Paraishan Ker Diya Tha.....Jis Ki Wajha Say Puranay Zaqam Aik Baar Phir Khul Gai Thay..

Jamal Bhai.................

Han Bolo....................

Dil Chonta Na Karain Allah Nay Cha Ha To Sub Theek Ho Jai Ga............

Abas Ki Baath Per Chonk Ker Ussay Daikha Tha....Phir Muskurai Thay.....Aik Zuqmi Si Muskurahat Thi Unki....

Tum Nahin Jantay Abaas May Kis Kurb Say Guzar Raha Hun...........Duniya Kay Samnay May Aik Kamiyab Tareen Admi Hun........Lakin.....Tum Jantay Ho Mujh Jaisa Muflis Is Duniya May Koye Nahin...

Abas Kiya Jawab Daita Khamoosh Or Dukhi Dil Say Unhay Daikhay Gaya..................

Sahab Shabir Sahab Agai Hain.......

Unhain Yahin Lay Ao Khan.............

Ji Bohoth Behtar..........

Doosray Mulazim Nay Jub Akar Shabir Sahab Kay Anay Ki Itla Di .....To Wo Ussay Bol Ker Uth Kharay Huay............Or Us Bari Si Curve Table Ki Taraf Barh Gai......Jis Per Chand Kaghazaath....Or Chota Sa Jadeed Laptop Rakha Hua Tha........

Assalam-O-Alaikum Sir................

Walaikum Assalam......Tashref Rakhiyaii......

Wo Table Ki Barhi Si Kursi Per Baithtay Huay Unhay Table Ki Doori Taraf Rakhi Do Kursiyon May Say Aik Per Baithnay Ka Ishara Kiya Tha............

Sir Hum Nay Us Larki Ka Pata Laga Liya Hay...

Unki Baath Sunker Wo Chonkay Thay Or Hulki Si Umeed Ki Chamak Unkay Cheray Par Lehrayee Thi.......Shaeer Sahab Nay Aik Lifafa Uth Ker Unki Taraf Barhaya Tha.....Unho Nay Baitabi Say Khol Ker Daikha Tha..............Jis May Us Larki Ka Pura Shijra Nasab Mojood Tha...................Unho Nay Dhemay Lehjay May Us Ka Naam Parha Tha

Ayesha Daniyal Ali.....

....

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 214956 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More