Mushkil Rastay episode 12

(farah ejaz, dearborn, mi USA)

Jub Wo Karachi Ai Thay To Jaib May Sirf Dus Roopay Parhay Thay ...................Ghar Bhar Kay Ladlay Thay..............Karachi Akar Pehli Baar Bhookay Pait Foot Path Per Sona Parha To Ma Baap Ki Qadar Huyee....Bari Bahan Ki Mohobath Or Unkay Naaz Uthana Yaad Aya......Lakin Wo To Saari Kishtiyan Jala Ker Ai Thay ...Apni Mung Ko Thukra Kar ....Apnay Baap Ko Naraz Ker Kar....Choda(14) Jamaath Pass Thay...Shaid Isi Ka Ghuroor Tha Unhay.... Apni Mangaitar Jahil Lugnay Lugi Thi...Jub Shadi Ki Batain Honay Lagin Ghar May To Saaf Keh Diya.......May Nahin Karoonga Us Jahil Say Shadi......

Yai Baath Sun Ker Abba Nay Joota Utha Liya Betay Per ..................Bus Phir Kiya Tha Chore Ai Sub Kuch .....Na Ma Ki Ahain Un Kay Qadmon May Zanjeerain Daal Sakin Na Behan Ki Iltijain Unhay Roke Payeen ....Josheelay To Thay Hi Ahad Ker Liya Ab Nahin Jaoounga Jub Tuk Gul Lala Ki Shadi Khana Abadi Kisi Or Kay Saath Na Ho Jai..........Lakin Ab Unhay Apna Yai Faisla Bhari Parh Raha Tha......Do Mahinay Hogai Thay.......Naukri Dhoondtay Huay...Lakin Shaid Qismath Unsay Roothi Huyee Thi....Jo Walaidain Na Sikha Sakay Wo Do Mahino May Seekh Gai.......Lakin Phir Bhi Wapis Janay Ko Taiyaar Nahin Thay......Gul Lala Aik Aankh Nahin Bhati Thi ...Ore Bachpan Say Suqth Na Pasand Thi...Is Liyai Bhookay Rehna Manzoor Tha Lakin Us Say Shadi Kisi Tore Manzoor Na Thi..............Lakin Phir Qismath Nay Yawari Ki Or Teesray Mahinay Jub Wo Kulli Tore Per Mayoos Ho Chukay Thay Kay Apnay Aik Puranay Yaar Suleman Shah Say Mulaqath Hogayee....Jis Ki Lalookhaith May Kabariyai Ki Chotti Si Dukan Thi....Usnay Jo Unhain Buray Haal May Daikha To Apnay Saath Hi Lay Aya.......Phir Apnay Us Chotay Say Karobar May Shareek Ker Liya....Kuch Arsa Jamal Apnay Dosth Kay Saath Karobar Kertay Rahay....Phir Suleman Ko Dubai May Kissi Construction Company May Naukri Mil Gayee To Wo Dosth Ko Apna Karobar Sonp Ker Dubai Chala Gaya...Or Kuch Hi Arsay Baad Apnay Biwi Bachon Ko Bhi Wahin Bula Liya....Or Dukan Unkay Naam Kerdi.......Wo Baishak Un Ka Sacha Ore Muqlis Dosth Tha...Jamal Mehanti Or Karobari Ramooz Say Bhi Wakhif Thay ...Ore Zaheen Bhi Thay To Us Mamooli Karobaar May Bhi Kafi Taraqi Kerli.....Saath May Mardana Kapron Ki Dukan Bhi Lay Li....Ab Hun Charon Taraf Say Baras Nay Laga....Jis Cheez May Bhi Haath Daltay Wo Sona Bunjati Unkay Liyai.....Saath Hi Agay Parh Nay Ka Jub Shoq Phir Say Jaga To Paisa Jama Kerkay London Chalay Gai....Us Zamanay May London Ya Europe Jana Koyee Mushkil Kaam Nahin Tha........Odd Jobs Kertay Huay Apni Parhayee Ko Jari Rakha....Ore Phir Wahin Aik Choti Si Coffee Shop Khol Li..........Ore Phir Teen Char Saal Baad Hi Aik 5 Star Hotel Kay Malik Bun Baithay.........Itnay Kum Arsay May Itni Turaqi Logon Kay Saath Unhay Bhi Hairan Ker Daiti Thi..........Shah Ji Say Bhi Wahin Mulaqaath Huyee Thi.........Bachpan Say Sanjhi Yar Thay Dono.... Daikhtay Hi Aik Doosray Say Laput Gai......................

Oaiy Jamal Tu Idhar Kiya Kar Raha Hay.... Yaar Kuch Apnay Maa Baap Ki Fikr Kar.......Tu Kiyun Unhay Chore Aya Bhai...........................................

Wo Dosth Ko Lupta Kar Bolay To Jamal Shah Thori Dair Khamooshi Say Dosth Ko Daikhay Gai.............

May Kiya Kerta Shah Abba Meri Shadi Zaberdasti Gul Lala Say Kernay Per Bazid Thay.... Or Tujhay To Pata Hay Yaar Wo Shuroo Say Mujhay Na Pasand Thi...May Nay Mana Kiya To Mujhay Ghar Say Nikal Janay Ko Kaha Bus Isterha May Idhar Agya.......

Jamal Tunay Bara Zulm Kiya Hay ...Yara Gul Lala Ki Shadi To Teray Cousin Say Hogayee ....Ore Wo Bhi Teray Janay Kay Chay Mahinay Baad....Kitna Dhoonda Chachay Nay Phir Tujhay.........Ab Bhi Dono Teri Rah Tuk Rahay Hain....Ore Haan Teri Bahan Ki Bhi Shadi Hogayee Thi.... Lakin Aulad Na Honay Ki Wajha Say Shohar Nay Ghar Say Nikal Diya Tha................................

Shah Ji Ki Baath Sun Ker Wo Dil Masoos Ker Rehgai...Ab Kiya Ker Saktay Thay...Per Kitna Armaan Tha Unhay Apni Behan Ki Shadi Ka.....Lakin Abba Ki Hut Dharmi Or Unkay Jawani Kay Josh May Uthay Huay Qadam Nay Un Say Unki Zindagi Kay Yai Bara(10) Saal Apno Say Door Bilkul Akailay Guzar Nay Per Majboor Ker Diya Tha......Agar Wo Hotay To Shaid Aisa Na Hota...Or Zakiya Ka Shohar Un Ki Behan Kay Saath Aisa Sulook Ker Nay Say Pehlay So(100) Dafa Sochta Zaroor................................

Abhi Bhi Kuch Nahin Bigra Jamal....Wapis Jao Or Chachay Or Chachi Say Apni Ghultiyon Ki Maafi Maang Lo....Ab To Teray Janay Ki Rah May Para Wo Kanta Bhi Hut Gaya Hay....................................

Unki Baath Sun Ker Wo Muskura Diyai....Phir Teen Mahinay Baad Hi Apnay Watan Shah Ji Kay Saath Hi Lot Aiy....Walaidain Kay Galay Lug Ker Khoob Roaiy....Abba Bhi Kafi Badal Gai Thay...Kafi Naheef Or Laghar Dikhnay Lagay Thay.. Or Maa Ji To Hudiyon Ka Panjr Lagtin Thin.....Chamakti Ankhain Andar Dhuns Gayeen Thin...Jin Ki Binayee Na Honay Kay Barabar Reh Gayee Thi........Sari Zameen Or Khaiton Per Mamoo Zaath Bhaiyon Nay Qabza Jamaliya Tha.....Juld Hi Gaooun May Reh Kar Unhay Yai Ahsaas Hogaya Tha Kay Zameen Ki Lalach May Unkay Mamoo Zaath Bhai Kissi Bhi Hud Tuk Jasaktay Hain....Abba Ko Bhi Is Baath Ka Andaza Tha Is Liyai Jub Jamal Shah Nay Abba Ko Saath Chalnay Ko Kaha To Unho Nay Foran Haan Kerdi.....Juld Hi Wo Un Sub Ko Lay Ker London Lot Ai...Or Yahan Atay Hi Zakiya Ki Shadi Apnay Aik Egyptian Dosth Munaf Bin Hayan Say Ker Di ... Saal Bhar Baath Hi Zakiya Ko Allah Nay Aulad Say Nawaaz Diya...Or Wo Apnay Shohar Kay Saath Misar(Egypt) Chalay Gayeen....Do Saal Kay Andar Hi Pehlay Abba Dammay Kay Shadeed Humlay Ki Nazar Hogai....Phir Amma Bhi Unkay Chay Mahinay Baad Dagh-E-Mufarqath Day Gayeeen....Walaidain Ki Wafaath Kay Baad Unka Dil Phir London May Nahin Laga Or Wo Pakistan Wapis Lot Ai.........Or Karachi May Aik Luxurious Flat Qareed Liya...Jo Ain Sahil-E-Samandar Kay Bilkul Samnay Tha....Abhi Yai Flats Bilkul Nai Banay Thay Is Liyai Aika Duka Hi Flats Abad Huay Thay....Or Us Zamanay May Abadi Bhi Bohoth Kum Thi Clifton Per......Aik Din Sham Ko Wo Apni Balcony May Kharay Samandar Ki Purshor Lehron Ko Tuk Rahay Thay Kay Unhay Hulkay Baby Pink Shalwar Qameez May Wo Nazar Agayee.....Jis Ki Shakal To Door Say Daikh Na Sakay...Lakin Us Ki Lambi Zulfain Door Say Bhi Nazar Arahin Thin.....Wo Kuch Dair Tuk To Us Mehjaben Ko Daikh Tay Rahay Phir Andar Agai...........Ab Jub Bhi Wo Balcony May Kharay Hotay Wo Unhay Muqtalif Rung Kay Kapron May Nazar Ati.....Her Dafa Uski Lambi Zulfain Hi Dikhtin Shakal Door Say Saaf Dikhayee Na Daiti..................

Ab Un Ka Roze Ka Mamool Bun Gaya Tha Theek Sham Sarhay Paanch Bajay Agar Office Say Juldi Ajatay Tub Aik Cup Coffee Ka Liyai Apni Balcony May Kharay Hojatay Or Us Mehjabeen Ko Agar Nazar Agyee To Door Say Sirf Daikhay Jatay............Us Dinb Bhi Dhulti Dopahar Ghar Janay Apnay Hotel Jis Per Abhi Bhi Construction Ka Kam Chal Raha Tha Say Apni Gray Fiat May Niklay To Us Larki Ka Qayal Agaya.......Kuch Baichain Say Hokar Gari Ka Ruq Flats Ki Taraf Mornay Ki Bajai Us Kay Samnay Samandar Kay Qareeb Rok Di....Or Bahir Nikal Ai...Kuch Dair To Gari Kay Paas Kharay Samandar Ki Lehron Ko Ghaib Dimaghi Say Daikhtay Rahay ....Phir Apnay Qadam Samandar Ki Taraf Barha Diyai......Kaafi Dair Akailay Taheltay Rahay...Pur Shore Lehrain Un Kay Qadmon Say Takra Kar Wapis Gum Ho Jatin...Tenhayee Ka Ahsaas Aaj Kuch Ziyada Hi Barh Gaya Tha......Aisia Or Europe May Un Ka Business Bohoth Taizi Say Phail Raha Tha...Kayee Multinational Companies May Un Kay Shares Thay...Kayee Baray 5star Or 7star Hotels Kay Malik Thay Wo.........Lakin Itni Dolath Shorath Kay Bawajood Wo Tenha Thay.....33 Saal Kay Hochukay Thay Lakin Abhi Tuk Shadi Nahin Ki Thi....Bohoth Say Logon Ki Un Per Nazrain Gari Hui Thin......Business Parties May Kayee Ultra Modern Larkiyan Un Ki Qurbath Or Aik Nazar Kay Liyai Tarapti Thin....Lakin Dosti To Bohoth Door Ki Baath Thi...Wo Ankh Utha Ker Bhi Kissi Ki Taraf Nahin Daikh Tay Thay...Aisi Parties Sharab Or Shabab Say Khali Nahin Hoteen....Or Jamal Shah Ko Nahi Yai Bay Baak Andaaz Or Hosh Raba Adaon Say Mazeen Bigri Huyee Ameer Zadiyan Pasand Thin....Or Na Hi Sharab Ko Kabhi Haath Lagaya Tha....England May Rehtay Huay Bhi Jub Daman Per Koyee Daagh Nahin Laga Tha To Ab Kiya Khak Bigar Tay......Magar Us Larki Nay Jub Say Door Say Apni Jhaluk Dikhlayee Thi Tub Say Hi Kuch Ajeeb Ahsasaath Dil May Jagay Thay......Us Waqth Bhi Samandar Kay Kinaray Tehaltay Huay Wo Ussi Ajnabi Larki Kay Baray May Onchay Jarahay Thay........Sooraj Ki Taiz Shuaoon May Aik Nirmahat Si Ati Ja Rahi Thi....Din Ki Rohni Raathmay Mudghum Honay Lagi Thi....Sooraj Ahista Ahista Samandar May Uterta Hua Mehsoos Ho Raha Tha...Lakin Us Haseen Nazaray Ki Taraf Daikhnay Ki Bajai Wo Apni Sonchon May Khoay Huay Thay.....Wo Ajnabi Larki Unkay Dil-O-Dimagh Per Cha Gayee Thi.............Or Wo Khud Ko Is Mamlay May Bay Bus Mehoos Ker Rahay Thay.........................

Mujhay To Yai Bhi Nahin Pata Tum Kaun Ho....Kahin Tum Kisi Kay Saath Engage To Nahin..................

Wo Dil May Us Say Muqatib Thay Or Is Qayal Kay Atay Hi Muztarib Bhi Ho Gai.....Thakan Ka Ahsaas Jub Barh Nay Laga To Samandar May Ghurq Hotay Sooraj Per Uchat Ti Nigah Daltay Huay Pultay To Zara Faslay Per Kharay Wajood Per Nazar Parhee....Or Qadam Wahin Jum Gai..........

 

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 213416 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More