Aray bhai..!! Akhir hum is ghar k baray hain.....

(Anum Laique Ahmed, karachi)

Aray Bhai...!! Akhir Hum Is Khandan K Baray Hain.....!!
Hum Bat Kar Rahe Hain Baray Logon Ki...Jee Han Wohe Baray Jo Apni Umr K Taqzay Ki Wajh Se Apni Kuch Purani Adaat Ki Lapayt May Apni Zindagi Guzar Rahe Hain..

Is Bat Se Inkaar Hargiz Nahi Kiya Jasakta K Puranay Daur K Log Apne Tajurbay K Bina Par Apni Zindagi Khush Haal Guzarte Hue Ay Hain Or Apni Auladon Ko Apne Tajurbay Se Aala Mashwaray Or Behtreen Tarbiyat Dete Hue Aye Hain..

Lekin Ab Bat Hai Naye Daur Ki..Aesa Nahi K Naye Daur Main Puranay Tajurbay Kaam Nahi Aynge..Bilkul Aynge ,Lekin Tab Jab Hamare Baray Apne Baron Ki Tarhan Apna Farz Nibhaenge...

Pahle Daur K Logon May Ache Iqlaq K Sath Sabr-O-Tahammul Or Aala Zarfi Bhi Hoti Thi ..Kia Apko Aj Kal Ye Sab Nazar Ata Hai? Bacchhon Ki Bat To Door Ki Hai Hamare Baron May B Is Cheez Ki Be Had Kami Achuki Hai...

Aj Kal Log Badal Gye Hain Mizaj Badal Gya Hai Aj Kal Log Apne Chhoton Ki Khamiyon Ko Dusron K Samne Pesh Karne Ko Apna Bara Pan Samjhte Hain..Jb Ke Unhe Chhoton K Aib Ki Parda Poshi Krni Chahiye..Janbujh K Ki Gai Ghaltiyon May Unki Tarafdari Karne K Bajay Unhe Akele Main Sudharne Ka Mashwara Or Moqa Dena Chahiye.. Or Unhe Maaf Karne Ka Zarf Peda Karna Chahiye..Apne Choton Ki Be Izzati Gheron K Samne Krna Thek Nahi Hai..."Bilawaja Tanqeed Aysi Talwar Hai Jo Khubsaurat Rishton Ka Sir Qalam Kardeti Hai.."

Apne Faislon Ko Chhoton Pe Bilawaja Musallat Karne K Bajaye Unhe Moqa Dena Chahye Apni Raye Dene Ka Phir Jahan Wo Ghalat Hon Ap Unhe Unka Faida Nuqsaan Samjha Sakte Hain..

Lekin Yahan Kuch Or Hota Hai..Bat Adhi Adhuri Jaan Kar Bina Bat Ki Tasdeeq Kiye Log Dusron Ki Zindagiyon K Ahem Faisle Kardete Hain ..K Jee" Faisla Sahi Ho Ya Ghalat Apko Manna Hai .Aray Bhai...!! Aakhir Hum Is Khandan K Is Ghar K Baray Hain ..Or Baray Jo Faisla Karen Wo Patthar Ki Lakeer Hota Hai"

Kahan Gaya Wo Sabr?Kahan Gai Wo Iqlaqiyat?Wo Tarbiyat?

Jab Ap Apne He Bacchon Par Bharosa Nahi Karenge..Unhe Sahi Ghalat May Farq Nahi Samajhne Denge..Unki Baat Nahi Sunenge ...To Kya Apke Bacche Apki Dil Se Izzat Karenge?Kya Wo Apko Haq Denge Apni Zindagi K Faislon Ka?Kya Wo Apse Kisi Achi Bat Ki Tawaqqo Rakh Paynge? Apki Anay Wali Zindagi May Apka Sath De Paynge?Sochiyega Zarur.....
 

Anum Laique  Ahmed
About the Author: Anum Laique Ahmed Read More Articles by Anum Laique Ahmed: 5 Articles with 20925 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.