Ajeeb Log Ajeeb Zindagi

(Muhammad Ali Ahmed, jhelum)

Jb Ma Ne Hosh Sambhala Tou Khud Ko Aik Ajeeb Hi Dunya Main Paya.. Ajeeb Log Thay... Unki Ajeeb Thi Harkatain Aur Ajeeb Tha Unka Tarz-E-Zindagi...

Ye Baat Ha Aaj Se Kai Saal Pehle Ki.... Aik Gaon Tha Jahan Ma Rehta Tha, Wahan Pe Logon Ko Aik 'Ajeeb' Si Bimari Thi, Sb Ko Tanhai Se Khauf Aata Tha Is Liye Mil Jul K Rehtay Thay. Ajeeb Pagal Thay Wo, Smajtay Thay K Sath Rahain Ge Tou Takleef Kam Hogi, Aik Doosray Ka Khyal Rakhain Ge Tou Shaed Is Bimari Ka Wajood Hi Khatam Ho Jae. Bewaqoof Kahin K, Isi Tarah Zindgian Basar Kr Daity... Na Koi Sahooliat.. Na Koi Jidat... Na Moashi Taraqi.. Na Koi Sanati Tarqi... Na Koi Shandar Imarat... Na Koi Bari Bari Garian.. Na Gird-O-Nawah Ma Koi Rangeeni... Bus Agr Kuch Tha Tou Wo 2 Waqt Ki Roti, Badan Par Libas Aur Aik Fazool Si Cheez Jise Wo Kehte Thay Rishton Ka Ehtram. Bakwas... Ab Bhala Un Se Koi Poochay K Banda Kea Kare Aisy Rishton Ka Jb Zindagi Ma Koi Rangeeni Na Ho? Sahooliat Na Hon? Jidat Na Ho? Daulat Na Ho??? Agr Un K Pas Ye Sb Hota Tou Wo Apni Is Biamri Ka Ilaaj Karwa Skte Thay Aur Phir Wo Tanhai Se Kabi Na Dartay....

Phir Us Gaon Ma Kuch Seht Mand Log Kisi Doosray Gaon Se Aye... Goray Chitay, Sehat Mand, Khush Hal Aur Taraqi Yafta Tahy Woh. Un Baher Se Aye Huon Ko Daikh K In Bimar Logon Ma Se B Kuch Ko Taraqi Ka Shoq Hua, Tou Inhon Ne Rishtay Wishtay Jaisi Bakwas Ko Chora Aur Lag Gae Taraqi Karne... Waqt Guzarta Gea, Ye Tarqi Karte Gae, Seht Mand Logon Ki Tadaad Barhti Gai, Wo "Ajeeb" Si Biamari .

Khatam Hoti Chali Gai... Ma B Isi Railay Ma Ye Sb Kuch Hasil Karta Chala Gea. Phir Aik Waqt Aya K Ma Ne Sb Kuch Paa Lia... Daulat Thi, Jaedad Thi, Bari Bari Garian Thien, Zindagi Ma Rangeeni Thi, Gharz Ye K Mere Hisab Se Zindagi Mukamal Thi. Lekin Nahin, Zindagi Mukamal Tou Kea Thi Hi Nahi.. Zindagi Thi Hi Nahi, Maut Thi Har Taraf Maut... Taraqi K Shoq Main Ma Ne Zindagi Kahin Zaya Kr Di Thi, Ma Ne Wo Takleef Se Bachney Ka Saada Sa Nuskha Thukra K Khud Ko Bimar Kr Lia Tha, Mar Diya Tha Sb Rishton Ko Aur Khatam Kr Dia Tha Unka Ehtram... Ab Waqt Guzar Chuka Tha, Ma Ne Zindagi Nahi Balke Waqt Guzara Tha.. Kash Ma Us Totkay Ko Na Thukrata Aur Waqt Ki Bajae Zindagi Hi Guzarta....
 

Ali Ahmed
About the Author: Ali AhmedCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.