Hummaray Andar Yai Bechaini Kiyun Hay

(farah ejaz, dearborn, mi USA)

Assalam-O-Alaikum
Kehnay Ko Bohoth Kuch Hay Lakin Aaj Sirf Aik Baath Hummay Bohoth Dinon Say Pareshaan Kar Rahi Thi...Issi Forum Per Aik Bhai Ka Article Parhnay Ko Maila Unwaan Tha....Aik Pakistani Ki Zindagi Kiya Hay...Unhay Bhi Wohi Confussion Thi Jo Hummay Hay Lakin Unkay Article Ko Parh Ker Tashaffi Nahin Huyee.....Bulkay Or Confussion Barh Gayee......Phir Allah Subhana Wa Taallah Nay Hummary Madad Ki Or Hummay Is Ka Jawaab Bhi Mil Gaya....Janab Hum Perdais May Rehtay Hain.......Or Jahan Rehtay Hain Wahan Arab Community Ziyada Hay......Hum Nay Un May Bhi Wo Bechainy Daikhy Jo Aik Aam Pakistani Mehsoos Kerta Hay...Tub Hummari Samujh May Aik Baath Ayee Kay Yai Sirf Aik Pakistani Ka Masla Nahin Hay Yai Pooray Muslim Ummah Ka Masla Hay....Syria Ho Ya Yamun India Ho Ya Pakistan Her Jagah Her Illaqay Kay Muslims Issi Confussion May Mubtillah Hain......Or Aik Terha Ki Ahsasay Mehroomi Ka Shikaar Hain...Jo Unhain Islam Say Door Lay Jarahi Hay........Or Young Generation Mughrabi Terz-E-Zindagi Apna Rahi Hay.....Islam Say Doori Or Tauheed May Shirk Ki Ameezish Hummaray Dilon Say Sukoon Iman Ki Hararath Or Aik Suchay Musalman Kay Ausaaf Hummaray Andar Say Mit Tay Jarahay Hain.....Yaad Rakhiyai Agar Hum Namaz Say Ghuflath Bertingay Ghana Or Deegar Gunahon May Mulawis Rahingay To Hum Islami Iqtedaar Say Door Allah Ki Rehmath Say Door....Issi Frustration Ka Hamesha Shikaar Rahingay....Yai Sirf Pakistani Mulim Ka Masla Nahin Hay Yai Poori Ummah Ka Masla Hay.......
Itmenaan Jata Raha
Qulb Ka Kharaar Bhi Gaya
Imaan Ki Harath Paida Ho Kaisay.
.Jub May Musalman Ho Kay Bhi
Musalman Na Raha

Think Of That What Kind Of Muslims We Are Now

 

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 213420 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More