Mushkil Rastay episode 2

(farah ejaz, dearborn,mi USA)

Do Mahinay Kisterha Beeth Gai Kuch Pata Hi Nahin Chala Haan Bus Itna Yaad Hay Amma Bi Ki Mayath Multaan Say Karachi Anay May Do Huftay Lug Gay Lakin Unkay Cheray Per Jo Noor Tha Wo Kuch Or Barh Gaya Tha..Karachi Airport Per May Apnay Mamoo Kay Saath Unki Dead Body Receive Kernay Khud Gayee Thi..Baqi Ka Bhi Merhala Unki Aqri Aram Gah Unhain Pohnchanay Tuk May Nay Khud Ko Mazbooth Banai Rakha ...Pata Nahin Itna Hosla Kahan Say Meray Andar Paida Hogaya Tha May Phir Royee Nahin...Amma Bi Ko Baba Jani Kay Pehloo May Jaga Milli...Baba Jani To Hummaray Bachpan May Hi Heart Attack Say Inteqal Kergai Thay...Or Amma Bi Nay Jis Himmath Or Hoslay Say Hummari Perwarish Ki Thi Woqabil-E-Tehseen Tha....Baba Jani Ki Texttile Mil Ko Unho Nay Khud Hi Sunmbhala Tha ....Lakin Hummari Perwarish Say Ghafil Aik Lamhay Ko Nahin Huin....Wo Parhi Likhi Khoobsoorath Khatoon Thin....Textile N Fashion Industry Say Taluq Hotay Huay Bhi Wo Kahin Say Fashion Ki Maari Aik Arab Pati Khatoon Nahin Lagtin Thin...Unho Nay Hummari Perwarish Bhi Unhi Khatooth Per Ki Hum Dono Ko Sir Per Nahin Charhaya ....Her Kaam Haath Say Kernay Ki Adad Dali ...Hummara Ghar Kahin Say Bhi Aik Arab Pati Ka Ghar Nahin Lugta Tha Bulkay Kissi Sufaid Posh Ka Aik Chota Sa 400 Guz Per Bana Ashiyana Tha...Qanaath Pasand Khud Bhi Thin Or Hum Bhi Qanath Wa Sabir Ka Sabaq Parhtay Huay Jawan Huin...May Saniya Say Teen Saal Barhi Thi....Meri Behtereen Dosth Meri Amma Bi Or Saniya Hi Theen...May Nay Graduation Apna Complete Kernay Kay Baad Fashion N Textile Designing May Four Years Ki Bachelor Degree Li ...Ab Amma Bi Kay Saath 6 Mahinay Say Mil Janay Lugi Thi..Sania Medical Kay Fifthyear May Thi...Hum Dono Hi Behnain Bohoth Khoobsoorath Thin....Sania Bilkul Amma Bi Ki Terha Gori Chatti Or Unki Terha Haseen Naqsh-O-Nigar Rakhti Thi....Us Ki Muskurahat Bhi Bilkul Amma Bi Jaisi Thi.......Or Baba Jani Ki Jaisi Bari Bari Ankhain Thin Sania Ki...Or May Na Baba Jani Jaisi Thi Or Na Amma Bi Jaisi...Sunehri Rungath Or Aikdum Siyah Kaali Bari Bari Chamakdaar Badami Ankhain....Firaaq Peshani...Or Lambi Khari Naak...Surq Gulab Jaisay Hont Or Nichlay Hont Kay Dahnay Katao Kay Paas Aik Chota Sa Til Or Lamba Qad Meri Shakhsiyath Ko Bohoth Khoobsoorath Banata Tha....Amma Bi Laad Say Mujhay Chotti Si Apsara Kehti Thin...Baba Jani Bhi Sania Say Ziyada Mujhay Chatay Thay....Baba Jani Kay Inteqal Kay Baad May Bilkul Gum Sum Si Hogayee Thi Mujhay Kafi Arsa Laga Tha Sunmbhalnay May Or Abamma Bi Kay Isterha Baydardi Say Qatal Hojanay Nay Mujhay Andar Say Tore Dala Tha ...Lakin Bahir Say May Aik Dum Mazbooth Chatan Si Dikhnay Lagi Thi.....

Us Din Bhi May Mill Say Wapissi Per Ghar Ki Chotti Si Library May Baithi Amma Bi Ki Likhi Un Chotti Chotti Nazmon Ko Parh Nay May Mahav Thi Kay Kako Jo Hummari Mulazima Kum Ghar Ki Fard Hi Terha Hay Nay Akar Uncle Wajahath Kay Anay Ki Itla Di......"Unhain Bithao Drawing Room May ....Or Haan Chai Bhijwadaina May Arahi Hun..May Apni Jagah Say Uthtay Huay Kako Ko Hidayath Dainay Lagi...Or Shelf May Kitab Rakh Ker Bahir Nikal Ayee.......................................................

Assalam Oalaikum Uncle...Walaikum Assalam Baiti Kaisi Ho .....Alhumdulillah Theek Hun ..Aap Kaisay Hain ...May Bhi Allah Ka Shukar Hay Betay Theek Hun...Kuch Important Documents Thay Begum Sahiba Kay Or Kuch Amanatain Tum Tuk Pohchanay Ki Hidayat Ki Thi Unho Nay...Aik Baray Say Khaki Lfafay Say Wo Papers Nikaltay Huay Bolay Thay...May Unkay Barabar Walay Sofay Per Baith Ker Unkay Haath Say Papers Layker Daikhnay Lagi........Jaidad Ki Taqseem Say Mutaliq Khanooni Dastawizaath Thin.....Jis Ko Tafseel Say Wajahath Uncle Mujhay Sumjhanay Lagay.....Baba Jani Ka Koyee Azeez Is Duniya May Nahin Tha Is Liyai Yai Saari Property Sirf Hum Dono Kay Naam Hi Thi.....Sania Ko Bhi Unhi Nay Wahin Bula Liya Tha....."Ayesha Hi Sub Kuch Sunmbhal Laigi Uncle Mujhay Business May Kissi Terha Ka Koyee Tajurba Or Interest Nahin Hay ....Meri To Field Hi Alag Hay "...Sania Meri Taraf Daikh Ker Wajahath Uncle Say Boli .....To Wo Muskuradiyai "Haan Madam Nay Is Ka Zikar Kiya Tha Or Uhno Nay Aap Kay Clinic Kay Liyai Zameen Bhi Khareed Li Thi Or Us Per Construction Ka Kaam Bhi Shuroo Kar Wa Diya Tha...Wo Aap Ko Surprise Daina Chati Thin Lakin Zindagi Nay Un Kay Saath Wafa Nahin Ki....Khair Yai Rahay Us Kay Kaghazaath Wo Uski Taraf Chund Ka Ghazaath Barhatay Huay Bolay Thay...Sania Kapkapatay Hathon Say Wo Kaghazaath Lay Ker Khamooshi Say Uth Gayee Shaid Wo Zabth Ker Rahi Thi Uncle Kay Samnay Werna May Jaanti Thi Kay Is Waqth Us Kay Mehsoosath Kiya Horahay Hungay... Uncle Ko Khuda Hafiz Kehkar Wo Drawing Room Say Bahir Nikal Gayee...Yai Tumhari Ammanath Hay Beti .....Uskay Janay Kay Baad Uncle Meri Taraf Aik Dermiyani Size Ka Khaki Lifafa Jo Kay Ceiled Pack Tha Barhatay Huay Kehnay Lagay...Yai Kiya Hay Uncle...May Unsay Laitay Huay Poochnay Lagi....Beti Yai Jub Zakira Madam Nay Meray Paas Amanath Kay Tore Per Rakhwaya Tha Tub Takeed Ki Thi Kay Issay Sirf Tumharay Hawalay Hi Karoon Or Kissi Kay Nahin......Acha Ab May Chalta Hun...Uncle Chai Ka Aqri Ghoont Lay Ker Uth Kharay Huay......Allah Tum Dono Ko Apnay Hifz-O-Aman May Rakhay.....Allah Hafiz....Yai Kehtay Huay Ashkbaar Ankhon Kay Saath Bahir Nikal Gai......May Bhojal Khadmon Say Andar Lounge May Agayee....Kamray Say Ronay Ki Awaz Arahi Thi...May Juldi Say Kamray May Gayee To Sania Apnay Bed Per Ondhi Laiti Ro Rahi Thi....Sania Meri Jaan Kiya Hua...May Us Kay Paas Bed Per Baith Gayee...Or Us Kay Khoobsoorath Reshmi Brown Balon May Ungliyan Phairtay Huay Us Say Poochnay Lagi....Wo Sir Utha Ker Mujhay Thori Dair Daikhti Rahi Phir Meri God May Sir Rakh Ker Phir Say Ronay Lagi....Amma Bi Mujhay Bohoth Yaad Arahi Hainayesha May Kiya Karoon...Kissi Pal Chain Nahin Mil Raha Please Mujhay Amma Bi Lado..Us Kay Isterha Ronay Or Amma Bi Ko Yaad Kernay Per Mera Bhi Dil Bhar Aya ...Aisay Nahin Kehtay Gurya..Janay Walay Wapis Thori Asaktay Hain Pagli Or Daikho Apni Studies Per Dhayan Do Tumhara Last Year Hay Medical May..Chand Mahinay Rah Gay Hain Dear Sis...Nahi Hoti Mujh Say Parhayeee Ayesha Jub Bhi Parhnay Baith Ti Hun To Amma Bi Ka Chera Meray Samnay Ajata Hay May Miya Karoon .....Wo God May Ser Rakhay Mujh Say Bebassy Say Kehnay Lagi ...Kiya Tum Chati Ho Jo Khwab Amma Bi Nay Tumharay Hawalay Say Daikha Tha Wo Adhoora Reh Jai ....Amma Bi Nay Baba Jani Kay Inteqaal Per Kitna Saber Kiya Tha Khud Ko Bhikarnay Tootnay Nahin Diya Tha .

...Agar Wo Bhi Himmath Haar Ker Baith Jatin To Na Hummari Behtar Perwarish Ker Patin Or Na Hi Baba Jani Ki Property Or Business Ko Handle Ker Patin....Hummay Amma Bi Ko Apna Ideal Bana Ker Apnay Qadam Zameen Per Mazbooti Say Jamanay Hungay Sania Kay Koyee Andhi Ya Toofan Unhay Ukhar Na Pai...Jo Khwab Hummaray Mutaliq Unho Nay Daikha Hay Sania Jaan May Chati Hun Hum Dono Mil Ker Wo Poora Karain....Unkay Kwabon Ki Zinda Tabeer Bun Jain.....Piyar Say Us Kay Moti Jaisay Ansoon Saaf Kertay Huay May Ussay Sumjhanay Lagi...Wo Chup Chap Khamoosh Pursonch Nazron Say Mujhay Daikh Rahi Thi....Tum Sahi Kehti Ho Ayesha May Wo Sabuq Bhool Nay Lagi Thi Jo Amma Bi Hum Say Kehtin Thin.... Lakin Abaisi Batain Nahin Karoongi Aisi Batain...Shabash Meri Bahan Mujhay Tum Say Yahi Umeed Hay Meri Jaan ...Daikho Hum Unhain Wapis To Nahin La Saktay Lakin Unki Yadon Ko Unki Mohabath Ko Dil May Hamesha Abad Rakh Saktay Hain....Meri Baath Per Wo Muskura Ker Apni Bahainmeray Galay May Dal Din...May Amma Bi Jaisi Lugti Hun Ayesha Lakin Tum Nay Unki Tamam Khosoosiyath Lay Li Hain.....Wohi Azam Wa Himmath Jo Amma Bi Ki Khosoosyath Thin Wo Tumharay Andar Bhi Hain....Acha Ab Chalo So Jao Tum....Raath Kay Giyara Buj Rahay Hain........May Ussay Bed Per Lita Ker Uski Peshani Per Bossa Day Ker Apnay Bed Per Akar Lait Gayee Lakin Neend Nadarad...Sania To Sogayee Adhay Ghantay May Lakin May Sona Payee...Amma Bi Kay Saath Guzray Pal Aik Film Ki Terha Meray Zahen Ki Screen Per Chal Rahay Thay To Phir Soti Kaisay....Achanak Kerwat Badalnay Per Us Khaki Lifafay Per Nazar Parh Gayee To Ussay Utha Ker Kamray Say Bahir Agayee...Lounge Ki Doosri Taraf Amma Bi Kay Kamray Kay Bazoo May Choti Si Khoobsoorath Library Hay...Library Ki Lights On Ker Kay May Amma Bi Ki Maqsoos Rocking Chair Per Baith Gayee....Or Us Khaki Lifafay Ko Khola To Aik Khoobsoorath Silver Diary Meray Haath May Agayee...Lifafay May Or Kuch Nahin Tha...Dairy Ko Khola To Pehlay Hi Pannay Per Amma Bi Ki Khoobsoorath Likhayee May Chota Sa Jumla Likha Tha "Piyari Beti Ayesha Kay Naa"...May Kitni Hi Dair Us Aik Jumlay Per Haath Phair Ti Rahi..Ussay Choomti Rahi..Mujhay Aisa Lug Raha Tha Kay Amma Bi Meray Aas Paas Hi Hain Bohoth Qareeb...Ankhon May Umand Ai Pani Ko Baydardy Say Hataili Say Ponch Dala Or Dairy Parh Nay Lagi..........................May Amma Bi Ko Parh Rahi Thi Unki Zindagi Ki Kahani Ko Parh Rahi Thii......

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 213403 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More