Nafrat Insan Se Ni Jurm Se Hai

(SHAFIQUE AHMED KOLACHI (ASI), GHOTKI (SINDH))

Ye 16-7-2012 Ke Sham The Jab Men Apne Tution Centre Se Farigh Ho Kar Serhyon Se Neche A Rha Tha K Raste Men Mjhe Ak Postman Mila Jis Ne Mjhe Ak Lifafa Dia, Jis Ko Mene Bina Khole Apne Pockt Men Rakha Aur Bike Pe Beth Kar Ghar Ke Taraf Nikal Para, Ghar Pohnch Kar Mene Usko Khola To Wo Mere Offer Letter Tha, Ak Dafa To Mjhe Smjh Ni Aya K Ye Kis Chez Ka Offer Letter Hai, Kyon K (Asi)Ke Post K Lye Mene Test 21-12-2009 Ko Dia Tha. Taqreeban 3 Saal Ka Waqt Guzar Gaya Tha, Offer Letter Milne Par Pore Jism Se Khushi Ke Lehar Dor Gae The Mene Khushi Khushi Ghar Walon Ko Bataya Pore Ghr Men Khushi Ka Sama Hogaya, Q Ke Men Middle Class Se Taluq Rakhta Tha Aur Jobless Bhe Tha. Chon Ke Mjhe Police Line Head Quarter Islamabad Men Report Karni The Men Usi Sham Ghar Se Nikla Aur 16 Ghante Ka Safar Karke Men Islamabad Pohncha Aur Head Quarter Men Report Ke. Dosra Marhala Physical Aur Medical Test Karwane Ka Tha Jo Mene Karwae Jis Ke Reports Ane Men 7 Din Lag Gae.Isi Tarh 24-7-2012 Ko Mene Joinig Ke Aur Baqaida Islamabad Police Ka Hisa Bana.......! Ajkal Ka Jo Logon Ka Khayal Hai Police Ko Acha Ni Smjha Jata, Mene In 2 Saalon Men Jo Andaza Lagaya K Police Ko Log Acha Kyoun Ni Smjhte Iske Kia Waja Hai? Sochne K Bad Phr Aik Bat Smjh Ae K Kisi Bhe Chez Ka Kisi K Bhe Sath Direct Contact Ho Us Se Mazeed Pehchan Hoti Hai, Police Is In Direct Contact With Public,(Awam) Chahe Ap Thana Men Hon, Kisi Choki Pe Hon, Kisi Sarkari Building Pe Hon Ya Phr Ap Kahen Sarak K Darmmyan Men Khare Traffic Chala Rhe Hon Har Soorat Men Ap Awam Se Direct Contact Men Hote Hain. Ab Aik Bat Aur K Crime Ratio Har Saal Barhta Ja Rha Hai Aur Usi Crime Ko Rokne K Lye Police Ko Paband Kia Gaya Hai, Jab Criminals Pkre Jate Hain Logon Ko Khayal Ata Hai K Be Gunah Log Hain, Police Zabardasti Kar Rhe Hai. Jab Aik Criminal Pakra Jae To Phr Kari Se Kari Milae Jati Hai. Usi Mulzim Se Phr Jo Uske Sath Jurm Men Shamil The Pocha Jata Hai, Pehle Pyar Se Pocha Jata Hai Agar Ni Batata To Phr Saza Deke Bhe Pocha Jata Hai, Kyuon K Agar Aik Bhe Criminal Moaashre Men Ho To Wo Insanon K Lye Khatranak Sabit Hota Hai. Police Men Joining Se Pehle Mera Bhe Police K Lye Yehe Khayal Hota Tha Lekin Jab Mene Khud Police Join Ke To Mera Khayal Bilkul Ulat Nikla. Agar Ap Dekhen Kisi K Sath Zulm Hota Hai To Wo Police Station Ka Rukh Karta Hai K Wahan Se He Insaf Mil Sakta Hai, Agar Koi Aur Department Insaf Deta Ya Wo Public Jo Police Ko Bura Smjhti Hai Wo Insaf Deti To Mazloom Log Unke Dar Pe Jate Lekin Aesa Hargiz Ni Hai, Insanon Ke Mal O Jan Ke Hifazat Karna, Mazloomon Ke Madad Karna , Faryadyon Ke Faryad Sunna, Be Gunahon Ko Saza Se Bachana Aur Gunehgar Ko Payae Takmeel Tak Pohchana Police Ke Faraiz Men Shamil Hai. Ak Aur Waja Ye Bhe Hai K Police Ka Negative Role Pesh Karna Media Men Aam Hogaya Hai Jis Se Bhe Bad Impression Par Rha Hai, Men Media Se Guzarish Karoga K Jis Police Ka Wo Bad Image Dekhate Hain Wo Apne Mulk Ke Police Hai, Aur Is Se Mulk Ka Bhe Image Kharab Hota Hai. Men Aik Simple C Example Apko Deta Hon K General Crime Report K Mutabiq America Men Street Crime Ke Ratio Pakistan Se 10% Ziada Hai Lekin Kbi Ap Ne T.V Pe Ya Akhbaron Men Ni Dekha Hoga, Yahan Pe Ye Sawal Peda Hota Hai K Kia Wahan Pe Media Ni Hai ? Ya Agar Hai To Wo Is Tarh Ke Reports De Ke Mulk Ka Image Kharb Ni Karna Chahte? Is Dunia Se Crime Khatm Hona Mushkil Zaroor Hai Lekin Na Mumkin Nhi, Jurm To Hazrat Adam Se He Shuru Hogaya Tha Jab Allah Taala Ne Hazrat Adam Ko Gandam Ka Dana Khane Se Mana Kia Tha Aur Hazrat Adam Ne Khaya Tha, Jurm To Wo Bhe Tha Mukhtalif Dour Men Mukhtalf Jurm Hote Rhe Hain, Lekin Unke Shakal Change Hue Hai. Forces Unko Rokne K Lye Banae Jati Hain K Crime Ko Khatam Kia Ja Ske Aur Jo Respectable Citizen Hain Wo Pursukoon Zindagi Guzar Sken. Men Akhir Men Awam Aur Media Se Guzarish Karoga K Wo Hamesha Police K Sath Taawun Karen Aur Jurm K Khatme K Lye Kandhe Se Kandha Mila Kar Khare Hon Ta K Hum Apne Watan E Aziz Ko Jurm Se Pak Karden Aur Ham Sab Mil Kar Khushal Zinagi Guzar Sken....! Men Allah Se Dua Karta Hon K Hamen Ak Sath Mil Kar Kaam Karne Ke Tofiq De. (Ameen) Pakistan Zindabad Written By: Shafique Ahmed Kolachi 14-09-2014

SHAFIQUE AHMED KOLACHI (ASI)
About the Author: SHAFIQUE AHMED KOLACHI (ASI) Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.