Piyar Tou Bus Ho Jata Hea Ggg..(Aik Sachi Daastaane E Mohabbat)

(Afaq Awaan, rawalpindi)

Piyar Tou Aik Ibaadat Hea Iss Mea Tunn Ka Qurb Mut Maangoo K Jis Ko Choou Liya Jaaye Ausse Poojaa Nahi Kerte...

Mohtaram Qaarein Yea Meri Pehli Tehreer Hea Mujeh Nahi Pata Kisi Daastan Ko Kese Suroou Kerte Hien Aus K Tsalsul Ko Kesse Berqaraar Rahkte Hien.Haan. Aik Baat Ka Pataa Hea K Yea Daastan 100% Saachi Hea.Pehli Tehreer Roman Mea Post Ker Raha Hoon Kiyoun K Baaz Perhne Waale Urdu Nahi Perh Paate Lekin Samjhte Hien Iss Tehreer K Baad Jo Aap Ki Raaye Ho Urdu Mea Ya Roman Mea Aus K Motaabiq Iss Dastaan Ko Jaari Rahkoun Ga...Iss Dasaatan Mea Her Tehreer Ki Terhaa Ferzi Naam Aur Kuch Jagaoun Ko Tabdeel Kiya Jana Behter Hea Taake Kisi Ki Zindagi Per Iss Ka Munfi Aser Na Pare...Yea Dastaan Aik Middle Class Lerkeye(Waajid Ferzi Naam) Ki Hai Aaye Aussi Ki Zubaani Suntien Hien......

Salam Meri Zaati Zindagi Bih Kudh Aik Alug Dukh Bahri Dastaan Hea Mager Aus K Kuch Pehloou Jahan Jahan Zaroorat Mehsoos Hoi Share Kerne Ki Koshish Karoun Ga...

Jub Sea Shaoour Sanmbahlaa Abu Ko Bemaar Dehkha Ammi Nea Silaai Ker K Hunm 2 Behn Bahiyoun Ki Perwarish Ki Aur Kisi Per Bojh Banna Munasib Nahi Samjah. Aik Acche High Standerd School Mea Perhaaya Hunm Middle Class Khandan Sea Taaluq Rakhte Thea Sillia Wagehraa Sea High Standerd School Ki High Fee Kese Adaa Ki Jaati Hien Yea Sirf Wahi Loug Samjh Paayien Gien Jo Inn Halaat Sea Guzree Houn....Mujeh Buchpan Sea Hi Kahaniyan Perhne Ka Bhout Souq Thaa Suruu Mea Umrooayaar Ki Kahaaniyan Phir Imraan Series Aur Phir Umer K Sath Sath Yea Souq Novels Tuk Jaa Phuncha ...Bhout Kum Novel Kahaani Aesi Dehkhi Jo Piyar Muhabbat K Ihsaas Sea Khaali Hoooun......Souchta Thaa Yea Sub Jhooth Hotaa Hea Piyar Muhabbat Bhi Koi Cheez Hoti Hea Iss Duniya Mea Ager Hoti Tou Mujeh Tou Nahi Houwa Ya Kisi Ko Mujeh Sea Tou Nahi Houwa.......Inhi Kahyaalat Aur Halaat Mea Matric Pass Hoi Aur Sath Hi Gher Waloun Ko Lugne Lagaa K Mea Barra Hogaya Hooun.....Meri Mangni Kr Di...Sameera(Ferzi Naam)K Sath...Meri Umer Sirf 16 Saal Thi....Ammi Nea Apni Mohabbat Ki Agoush Mea Aesi Perwarish Ki K Duniya Ki Hawaa Tuk Nahi Lagne Di.....Issi Liye Bhout Simple Aur Bhout Religious Lerkaa Thaa.......Apni Duniya Gher School Aur Masjid Inn 3 Jagaaoun.

Ya Inn Sea Jurea Logoun Sea Thii.....Matric K Baad Jub College Ki Baari Aai Tou Mujeh Punjaab Group Of College Mea Admission Kerwaa Diya Aus Waqt Kuch Kuch Samjh Aane Lagi Thi Buchpan Sea Jawaani Ki Dehleez Per Qadam Rukh Chukka Thaa Mae Aur Zimaadaiyoun Ka Ihsaas Hone Lagaa Thaa....College Aik Din Gaya Phir Dousre Din Subaah College Jaate Houwe Petrol Aur Pocket Money K Liye Paisse Leyne Perte Aur Aouper Sea College Mea Kabi Koi Book Leani Hea Aur Lecture K Aakhir Mea Teacher Keh Deate Mea Nea Notes Banaa Diye Hien Aap Ja Ker Canteen Sea Purchase   Ker Lien.....Ammi Sea Rouz Rouz Itne Paisse Mangte Sharam Aati Aur 3srey Din College Mea Aessa Houwa Jiss Sea Mere Dill Nea Aik Baat Thaan Lii Ager Perhna Hea Tou Kudh Sea Kamaoun Ga Apni Kamaayi Sea Perhoun Ga Kisi Per Bojh Nahi Banoun Ga .....Aur Yea Souch Kiyoun Na Aati Aik Kuddar Maa Ka Jo Beata Thaa  Jis Nea Din Raat Mehnaat Tou Ker Li Mager Kisi Apne Per Bih Bojh Banna Munasib Nahi Samjha....Khair Howa Yea College Mea Hamaare English K Teacher Bhout Sakht Thea Baki Koi Sabaq Yaad Karien Ya Naa Karien Aun Ka Sabaq Der K Maare Sub Laazmi Yaad Kerte ....Urdu Ya Kisi Aur Subject Ka Lectures Aik Female Teacher  Deati Thi Aun K Class Mea Aksar Students English Ka Sabaq Yaad Kerlete K Aus K Baad English K Class Hoti...Mere Sath Jo Students Behth Thea Woo Aouper Urdu Ki Kitab Rakh Ker Neeche English Ki Book Rakh Ker English Ka Sabaq Yaad Ker Rahe Thea Maam Bih Yea Sub Dekhti Thi Rozaana Aur Aus Din Itefaaq Sea Mere Desk Per Bhi Urdu Ki Kitab K Neeche English Ki Kitaab Pari Thi Teacher Aai Aur Hunm Sub Sea Hamaari English Ki Kitaabien Lea Gai..Khair Jesse Teaste Kr K English Ka Period Tou Without Book Pass Kiya Mager Abi Kl K Liye Ya Tou English Ki Book Teacher Sea Sory K Sath Waapis Leani Thi Ya Nai Kitaab Leni Thi...Jinse  Mukhalif Ka Souchte Hi Mere Tou Paseene Chouth Jaate Thea Bus Aik Hi Souch Bun Gai Thi Inn Sea Jitna Dour Raho Itna Behter Hea Iss Liye Teacher K Samne Jaa Ker Maafi K Sath Kitaab Wappis Leana Tou Mushkil Lug Raha Thaa Per Phir Kitaab Nai Kahreedni Perti Yea Souchte Souchte College Sea Gher Aaya Ammi Sea Kitaab Keleye Payise Mangne Ki Himmat Nahi Hoi Aik Din Nahi Gaya College Dousre Din Nahi Gaya Iss K Sath Yea Souch Aur Muzboot Ho Gai "Perhna Hea Tou Apne Bel Per" Ammi Nea Jo Itna Kuch Kiya Kaffi Hea Ab Mujeh Gher Ki Zimmedaari Sanmbahlni Chaye...."Tehreye Kahin Aap Yea Tou Nahi Souch Rahe K Yea Koun Si Dastaan Suru Ker Di Nahi Yea Sub Zarouri Hea Issi K Baad Tou Asel Kahaani Suru Hoti Hea" Iss Sea Aap Ko Hamaari Society Ki Haqeeqat Ka Bhi Pataa Chel Jaaye Ga...Yea Baat Aur Souch Mea  Nea Kissi Ko Nahi Batai "Mujeh Apni Zimmedaari Ka Ihsaas Hogaya Hea Aur Kis Wajah Sea Apni Taaleem Jari Nahi Rakh Sakta"Bus Yea Kahaa K Mujeh Aage Nahi Perhna Mea Koi Kaam Karoun Ga...Aus K Baad Kaam Ki Talaash Suru Kerdi Yea Bih Aik Lambi Kahani Hea Mager Iss Ko Chour Ker Asel Baat K Taraf Aate Hien Kaam Dhontte  Dhoontte Aur Kerte Kerte 2 Saal Guzer Gaaye Ab Halaat Yea Thea K Aaik Government Institute Mea Internship Mill Gai Aur Aik Achi University Mea Online Teaching Ki Job Mill Gai Abb Routeen Yea Thi K Subah Ko Internship K Liyea Jana Hotaa Raat Ko University Aur Iss Sub Mea Mujeh 2 Cities Ka Rooz Safer Kerna Perta Itni Tuff Routeen Dekh Ker Ammi Aur Dadoo Nea Kahaa K Tum Koi Apna Kaam Shouru Karou Hamari Duain Tumhaare Sath Hien ALLAH Behter Kare Ga..;Mea Nea Ausi Din University Ko Choura Aur Agle Hi Dinn Apnaa Online Teaching Surou Ker Di Yea 01march 2010 Thi Pehle Hi Maheene Buzorgoon Ki Duaaoun Ki Berkat Sea Itni Amdaan Hoi K Sahyed Mea Itni Amdaan Saal Berh Mea Bih Na Kamaata Iss Douraan Kisi Student Nea Mashwara Diya K Aap Apni Company Suru Ker Dien Aur Aik International Institute Rigester Hogaya Jis K Different Projects Thea Different Countries Mea .....Online Teaching Kerte Kerte Aik Din Aik Nai Student Sea Mulaaqat Hoi Wo Aik Young Lerki Thi Auss Sea Pehle Bachoun Ko Ya Buzurg Aourtoun Ko Tou Bhout Perhaaya Mager Yea Pehli Young Lerki Thi...Soucha Mera Aus Sea Kiya Leana Deana Mere Liye Tou Aik Student Thi ALLAH Ka Naam Lea Ker Gul Rukh (Ferzi Naam) Ko Perhnaa Suru Kiya....Gul Rukh Aik Europian Contry Ki Stylish Aur Munchalli Lerki Thi Gull Nea Kaha K Jub Bih Mea  Clases Start Kerti Houn Meri Studies Poouri Nahi Hoo Pati Ya Tou Mea Teacher Sea Dour Hoo Jati Houn Ya Teacher Mujh Sea Mea Nea Kaha Koi Baat Nahi Mea Kohsish Karoun Ga Aap Ki Perhaai Mere Sath Mukammel Ho Jaaye Hafte Baad Aik Din Gull Nea Apni Tasweer Skype Per Lagai....Wo Pehli Lerki Thi Jis Ko Mea Nea Itne Qareeb Sea Tasveer Mea Dehkha Iss Sea Pehle Tou Aourtoun Ka Ya Tou Hijaab Mea Dehkha Ya Phir Hamaari Nazrien Jukhi Rehti Thi....Gull Sub Students Sea Bhout Hut Ker Thi Bhout Sharartein Kerti Ahista Ahista Class Mea Batien Houna Shourou Hoi Aur Aus K Baad Yea Taaliq Aesa Mazboout Houwa K Monday Ho Ya Sunday Eid Ho Ya Koi Aur  Din Hamari Baat Rouz Hoti......

Mohtaram Qareen Aaj K Liye Itna Kaafi Hea Iss Sea Aage Agli Tehreer Mea Kohsish Karoun Ga Yea Batata Chaloun Iss Saari Dastaan(Suchi) Ko Suru Houwe 4 Saal Hogaye  Ager Sub Likhna Chaahoun Tou Shayed Saaloun Lug Jaayien....Aur Iss Dastaan Ko Likhne Ka Muqsad Yea Hea K Na Tou Mea Kisi Sea Apna Haal Sahre Ker Sakta Houn Na Hi Apni Gulrukh Tuk Phunch Paya Houn Iss Terha Sea Shayed Mere Dill Ka Bojh Helka Hojaye....Aur Aap Mea Sea Koi Mujeh Bataa Sake K Mujeh Ab Kiya Kerna Caaheye Kiya Sahi Hea Aur Kiya Galat....Aur Haan Yea Bih Raaye Dea Dejeye Yea Post Jo Likhi Asel Sea Sirf 2,4% Hi Likhi Hea Baqi K Waqiyat Nahi Likhe Kiya Yea Munaasib Hea Tamaam Waqiyat Likhe Jayien Ya Sirf Dastaan E Moubaat.....JA ZAA KALLAH

afaq awan
About the Author: afaq awan Read More Articles by afaq awan: 2 Articles with 3816 views I am a young struggler businessman... View More