Zindgi Udas Hy Tu

(sumaira Azhar, karachi)

Main Zindgi Ki Door Main Humainsha Piche Rhi Main Bhi Kuch Banna Chati Thi Apne Maa Baap Ki Help Krna Chati Thi .Main Parh Likh K Job Krna Chati Thi Aik Privat School Main Bachon Ko Parhati Bhi Thi Aur F.A Ki Bhi Tyari Krti Rhi Humare Ghar Main Koi Ziada Parha Likha Bhi Ni Tha Jo Mujhe Guid Krta Mujhe Kuch Pta Ni Tha Kh Main Konsa Cource Kron Kh Jis Se Job Mil Jay .Bs Fa Ka Result Abhi Ni Aya Tha Shadi Ho Gi .Shadi K Bad Bhi Kuch Kr Na Pai Na Hi Husband Ne Is Muamle Main Meri Help Bs Aik House Wife Bn Gi Bache Ho Gye Mgr Meri Kuch Banne Ki Khuhish Ne Kbhi Dum Ni Tora Boutique Ka Kam Shuru Kya Sarmaya Aur Husband Ka Sat Na Hone Ki Waja Se Wo Kam Bhi Na Chal Ska Husband Aj Tk Mujhe Failer Khta Hy Mera Dil Bhut Dhukhta Hy Meri Maa Ko Meri Zururat Thi Main Maa Ki Bhi Help Na Kr Pai Aur Wo Is Dunaya Ko Chor K Chli Gi Ab Baap Ko Meri Zururat Hy Main Ab Bhi Kuch Ni Kr Pa Rhi Aj Itne Saal Guzar Jane K Bad Bhi Main Aj Bhi Kuch Banna Chati Hon Rozana Net Pe Job Ki Talash Krti Hon Mager Abhi Tk Kuch Hasil Ni Ho Ska Sochti Hon Agr Ab Bhi Khuch Na Kr Ski Aur Abu Ki Bhi Help Na Kr Ski To Kbi Apne Aap Ko Maaf Na Kr Sakon Gi Aur Phir Maan Lon Gi K Mera Husband Mere Bare Main Thek Khta Hy Aj Main Panch Bachon Ki Maa Hon Main Aj Bhi Job Kr K Apne Bap Kly Wo Sb Kuch Krna Chati Hon Jo Us Ne Humare Lye Kya Main Apne Baap Ki Muskrahat Banna Chati Hon ............Mger Ye Pakistan Hy ....................Is Ly To Khti Hon Zindgi Udas Hy Tu

sumaira Azhar
About the Author: sumaira Azhar Read More Articles by sumaira Azhar: 2 Articles with 1056 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.