Kya He Mohabbat?

(Ali Bin Ayjaz, Karachi)

Mohabbat K Maienay Kashish K Hain. Ya Wo Jazba Ha Jo Banda Ko Khuda Sa Mila Deta Hai. Lakin Logon Na Ek Mashgala Bana Liya, Ya Mohabbat Ka Dawa To Kartain Hain Lakin Ya Nahin Janta Mohabbat Jesi Pakiza Shay Kya Hai? Haqiqi Mohabbat Us Waqt Milti Ha Jab Hum Kisi K Zaati Dukh Ko Apna Dukh Samjhain, Is Ki Izaat Ko Apni Izat Samjhain, Jab Hum Ko Kisi Zaat Sa Haqiqi Mohabbat Ho Jati To Hum Ya Mahsoos Karna Lagtain Hain. Magar Logon Ka Koi Ek Mehboob Ho To! Wo Kisi Sa Bhi Wafa Nahin Karta Unhoon Na Sirf Dill Thorna Seekha Ha Kisi K Jazbat Se Khal Kar Khushi Mehsoos Karna Lakin Ya Bhoul Jatain Hain Kal Agar Kisi Dosri Zaat Ne In Ko Thais Pauhchai To In Ka Kya Hal Hoga. Mohabbat Kya Ha Kya Mohabbat Dosti Ha. Mohabbat Dosti Kasay Ho Sakti Ha Agar Mohabbat Dosti Ki Jaga Lay Lay To Phir Dosti Ka Liya Jaga Nahin Rahti. Mohabbat Ba Ikhtiyar Hoti Ha. Ya Ek Aisa Dariya Ha Jis Main Insaan Doobta Hi Jata Ha Wo Is Dariya Main Kud To Jata Ha Aur Aisa Bhanwar Main Phains Jat Ha Jis Se Nikalna Bohut Mushkil Hai.

Mohabbat Ek Pakeeza Jazba Hai. Mohabbat Main Her Wo Insaan Kamyab Ha Jo Dil Se Mohabbat Karta Ha Mohabbat Ek Assa Tailaab Ha K Agar Barish Roth Bhi Jai To Pani Kam Nahin Hota Is Dariya Per Her Pyassa A Kar Apni Pyass Bujhata Ha. Mohabbat Do Tarhan Ki Hoti Ha: Dini Or Dunyavi. Dini Mohabbat Jo Aap Apne Mazhab Se Kartain Hain Apna Rab Se Kartain Hein. Or Duniyavi Mohabbat Jo Aap Apni Maa, Baap, Behan, Bhai, Rishta Daro Sa Kartain Hain Ya Kisi Farzi Rishta Se Jis Ki Taraf Aap Ka Dil Keenchay Jis Ko Dekh Kar Aap Ko Lage K Han Ye Aap Ki Mohabbat K Laik Ha. Kisi Ne Such Hi Kaha Ha K Mohabbat Andhi Hoti Ha Mohabbat Karne Wala Zat Pat Ko Nahin Dekhta. Ye To Bas Ho Jati Jase Heer Ne Ranjha Se, Shereen Na Farhad Se, Sasaasi Ne Punu Se, Laila Ne Majnu Se Ki, Aksar Logon Ka Kehna Ha Mohabbat Dard Dati Ha Ya Dard Sirf Us Ko Milta Ha Jo Is Ko Thukrata Ha. Mohabbat Ek Phool Ki Manind Hoti He Jahan Khil Jai Apni Khushbo Se Sare Gulshan Ko Mahaka Dati Ha. Mohabbat Sansoo K Tasulsul Ki Paband Nahin Hoti, Ye Marna Waloon K Sath Mar Nahin Jati Mohabbat Hamasha Zinda Rahti He. Mohabbat Ka Talauq Ek Dil Se Dosra Dil Tak Ka Hota Ha. Mohabbat Ko Mahsoos Kiya Ja Sakta Ha. Mohabbat Maangi Nahin Jati Maang Kar Hasil Ki Hoi Mohabbat Khairat Ki Tarhan Ha. Mohabbat Eik Attot Bandhan Ka Naam Ha. Ye Jis Ko Hasil Hoti Ha Wo Apne Aap Ko Duniya Ka Kush Naseeb Admi Tasavur Karne Lagta Ha.

“Apna Dilon Se Mohabbat Ka Hal Pucho Q K Dil Aisa Gawah Ha Jo Kisi Se Rishwat Nahin Leta.” Mohabbat Azad Ha Is Ko Qaaid Main Nahin Rakha Ja Sakta Matlab Agar Main Kisi Se Mohabbat Karta Hon To Us Ko Bhi Is Baat Ka Maloom Hona Chahiya Yak Tarfa Mohabbat Dil Main Hi Rah Jati Ha. Is Ko Bayan Kar Dena Chahiya. Dil Main Basi Hoi Mohabbat Adhori Mohabbat Kehlati Ha. Or Adhori Mohabbat Kabhi Pori Nahin Hoti. Mohabbat Ki Nahin Jati Ya To Ho Jati He Kuch Logon Ko Shadi Se Pahla Or Kuch Ko Shadi K Bad Lakin Love Marriage Se Arrange Marriage Bahtar Ha. Love Marriage Main Doorian Barh Jati Hain Mohabbat Waqt Ka Sath Khatam Ho Jati Ha. Is Tarhan Hum Apni Sari Mohabbat Pahlay Hi Bayaan Kar Datain Hain Wo Sare Ahsasaat Sare Khawab Sari Arzooain Sab Kuch Is Liya K Hum Eik Doosra Ko Pehlay Hi Jantay Thay. Or Jab Miltay Hain Dono K Darmiyan Ka Faasla Barh Jata Hai. Jabk Arrange Marriage Main Dono Eik Dosra Se Na Waqif Hotain Hain Eik Dosra K Liya Anjaan Hotain Hain Pehli Dafa Ek Dosra Ko Dekhtain Hain Dono K Darmiyan Ek Sharam Hoti Ha Lamha Ba Lamha Wo Dono Ek Dosra Ko Jantain Hain Eik Dosra Se Mohabbat Kartain Hain Or Ya Mohabbat Agay Chal Kar Or Bhi Ziada Barh Jati Ha. Mohabbat K Kai Naam Hain. Pyar, Ishq, Aur Mohabbat, Isi Tarhan Apni Mohabbat Ka Izhar Karna K Lia Mohabbat Ka Din Manaya Jata Ha Jis Ko ,Valentine Day Kaha Jata Ha Is Din Aap Jis Ko Chahtain Hain Us Se Apni Mohabbat Ka Izhar Kar Saktain Hain Valentine Day Ka Matlab Ya Nahin Ha Ka Sirf Eik Larka Larki Ek Dosra Ko Wish Karain Balka Aap Jis Ko Chahain Kah Saktain Hain. Mara Peghaam Ha Mohabbat Jahan Tak Phaunchay.

Ali Bin Ayjaz
About the Author: Ali Bin Ayjaz Read More Articles by Ali Bin Ayjaz: 3 Articles with 18117 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.