Taraweeh 20 Raka'at parhna sunnat

(M Usama Ali, Mirpurkhas)

Taraweeh 20 Raka'at Parhna Sunnat Aur 8 Raka'at Parhna Khilaaf E Sunnat Hai, Hum In'sha ALLAH Is Ka Saboot Quran E Pak Ki Tarteeb O Ahadees E Sahihya O Aqwaal E Ulama Aur Aqli Dalael Se Detay Hain..

1) Quran E Pak Main Suraten Bhi Hain, Aayaten Bhi Aur Roqu Bhi,

Woh Mazmoon Jis Ka Koi Naam Rakh Diya Gaya Ho, Woh Surat Kehlaata Hai, Aur Quran E Pak Ka Woh Jumla (Sentence) Jis Ka Koi Alehda Naam Na Ho Aayat Kehlaata Hai, Magar Ab Dekhna Yeh Hai K Roku Ko Roku Q Kehtey Hain,

Q K Surat K Meaning Hain Ihaata Karney Waali Cheez Aur Aayat K Meaning Hain Nishaani, Surat Chunkey Ek Mazmoon Ko Gheray Hoti Hai Jesay Sheher Panah (سورہ البدل), Aur Aayat Qudrat E Ilaahi Ki Nishaani Hai Is Liye In K Yeh Naam Huwey,

Magar Ruko K Meaning Hain Jhukna, Dekhna Yeh Hai K Qurani Roku Ko Roku Q Kehtey Hain,

Qutub E Qir'at Se Maaloom Huwa K Hazrat Umar O Usman (Razi ALLAH Anhu) Taraweeh Main Jis Qadar Qur'an Parh Ker Roku Farmaatey They Us Hissay Ka Naam Roku Rakha Gaya, Yaani In Hazraat K Roku Karney K Muqaam Itna Quran Parh Kar Roku Huwa,

Aur Chunkey Taraweeh 20 Roku Parhi Jaati Thin Aur 27th Ramazan Ko Khatam Hota Tha, Is Lihaaz Se Quran E Pak K Qul 540 Ruko Honey Chahiyen, Lekin Khatam K Baad Ba'az Rakaton Main Choti Cohti 2 Soorten Parh Li Jaati Thin, Is Liye Quran E Kareem K 557 Roku Huwey,

Agar Taraweeh 8 Raka'at Hotin To Roku 216 Honey Chahiye They, Qurani Roku'aat Ki Taadad Bata Rahi Hai K Taraweeh 20 Raka'at Honi Chahiyen, Kiya Wahaabi 8 Raka'at Taraweeh Maan Ker Roku'aat E Quran Ki Wajah Bata Saktey Hain ??

2) Taraweeh Jama Tarweeiyah Ki Hai, Jis K Meaning Hain Jisam Ko Raahat Dena, Chunkey In Main Her 4 Raka'at Per Kisi Qadar Raahat K Liye Bethtey Hain Is Bethney Ka Naam Tarweeiyah Hai, Isi Liye Is Namaz Ko Taraweeh Kaha Jaata Hai Yaani Raahaton Ka Majmoo'a Aur Taraweeh Ka Jama Hai,

Jama Kam Az Kam 3 Per Boli Jaati Hai, Agar Taraweeh 8 Raka'at Hoti To Is K Darmiyaan Main Ek Tarweeiyah Aata, Phir Is Ka Naam Taraweeh Na Hota, 3 Tarweehon K Liye Kam Az Kam 16 Raka'at Taraweeh Chahiye, Jin Main Her 4 Raka'at K Baad Ek Tarweeha Ho Aur Witter Se Pehley Koi Tarweeha Nahin Hota, Taraweeh Ka Naam Hi 8 Raka'at Ki Tardeed (Inkaar) Karta Hai..

3) Her Din Main 20 Raka'at Namaz Zaroori Hai, 17 Farz Aur 3 Witter, 2 Farz Fajar Main, 4 Zohar Main, 4 Asar Main, 3 Magrib Main Aur 4 Esha Main,

Ramazan Shareef Main RAB TA'ALA Ne In 20 Raka'aat Ki Takmeel K Liye 20 Raka'at Taraweeh Muqarrar Farma Din, Jis Ki Her Raka'at In Ki Her Raka'at Ki Takmeel Karey, Ger Muqallid Shayad Namaz-E-Panjgaana Bhi 8 Raka'at Hi Parhtey Hongey.. Warna 8 Raka'at Ko In 20 Raka'at Se Kiya Nisbat ??

4) Khayal Rahey K Huzoor ﷺ Ne Namaz-E-Taraweeh Pabandi Se Ba'jama'at Ada Na Farmaai, Sirf 2 Din Ada Kin, Aur Baad Main Farma Diya, Agar Is Ki Pabandi Ki Gai To Farz Hojaaney Ka Andesha Hai, Jis Se Meri Ummat Ko Dushwaari Hogi, Lihaazah Tum Log Apney Ghar Hi Main Namaz Parh Liya Karo,

Baaz Log To Kehtey Hain K Yeh Namaz E Tahajjud Hi Thi Jo Maah-E-Ramazan Main Ehtamaam Se Ada Karai Gai Isi Liye Sahaba Sehri K Aakhri Waqt Is Se Faarig Hotey,

Zamana-E-Siddiqui Main Bhi Is Ka Ba-Qaedah Intizaam Na Farmaaya Gaya, Log Muttafarriq Tor Per Parh Letay They,

Umer (Razi ALLAH Anhu) Ne Is Ka Ehtamaam Farmaya Aur 20 Raka'at Taraweeh Muqarrar Farmaain, Aur Ba-Qaedah Jama'at Ka Intezaam Kiya, Lihaazah Sahih Yeh Hai K Asal Taraweeh Sunnat E RASOOL ALLAH Hai, Magar Is Ki Pabandi-E-Jama'at 20 Raka’at Sunnat-E-Faarooqi Hai,

Chunkey Huzoor ﷺ Ne Na To 8 Raka'at Ka Hukum Diya Aur Na Is Per Pabandi Farmaai, Balkey Haq Yeh Hai K AAP Ka 8 Raka'at Taraweeh Parhna Saraahatan Kahin Se Saabit Hi Nahin Huwa, Lihaazah Sahaba Ka 20 Raka'at Per Ittefaaq Karna Sunnat Ki Mukhaalifat Nahin,

Humen Hukum Diya Gaya K

علیکم بسنتی وسنت الخلفاء الرشدین۔
(Sunan Ibn-E-Majah, Jild#1, Page#15-16, Raqam Ul Hadees#42-43, Matboo’a Dar-Ul-Fikar, Beroot)
(Jami-Ut-Tirmizi, Jild#2, Page#92, Matboo’a Maktabah Akramiya, Peshawar)

Lihaazah Ab Hum Sahaba E Karam Ka Amal Pesh Kertay Hain, Ger Muqallidon Ko Chahiye Koi Ek Hadees Marfoo Sahih Aesi Pesh Karen Jis Se Taraweeh Ki 8 Raka'at Saraahatan Saabit Hon,

In'hsa ALLAH Kbhi Bhi Na Ker Saken Gey, Khair Ab Hamari Ahadees Aur Ulama E Ummat K Aqwaal Mulaahizah Hon:

1) Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Ne Apney Zamana-E-Khilaafat Main 20 Raka'at Taraweeh Ki Ba-Qaedah Jama'at Ka Intezaam Farmaaya,

Isi Per Sahaba E Karam Ka Ijma Huwa, Mota Imam E Maalik Main Hazrat Saaeb Ibn-E-Yazeed (Razi ALLAH Anhu) Se Riwaayat Hai K

قال کنا نقوم فی عھد عمر بعشرین رکعۃ رواہ البیھقی فی الفرقتہ باسناد صحیح۔
(Mota Imam E Maalik, Kitab Us Salat Fi Ramadan Baa But Targheeb Fi Salaat Fi Ramadan, Jild#1, PAGE#115, Raqam Ul Hadees#252, Matboo’a Dar Ul Ehya At Turaas Al Arabi , Beroot)

2) Imam Maalik (Aleh Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Yazeed Bin Romaan Ne Bayaan Kiya K Hazrat Umar Bin Khattaab (Razi ALLAH Anhu) K Dor Main Log (Witter K Saath) 23 Raka’at Parhtey They”..
(Mota Imam E Maalik, Kitab Us Salat Fi Ramadan Baa But Targheeb Fi Salaat Fi Ramadan, Jild#1, PAGE#115, Raqam Ul Hadees#252, Matboo’a Dar Ul Ehya At Turaas Al Arabi , Beroot)
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild#2, Page#496, Raqam Ul Hadees#4394, Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)
(Shu’ab Ul Iman Lil Baihaqi, Jild#3, Page#77, Raqam Ul Hadees#3270, Matboo’a Dar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
(Fath Ul Baari, Jild#4, Page#253, Matboo’a Dar Ul Ma’arfah, Beroot)

3) Imam Ibn-E-Hajar Asqalaani (Rehmatullah Aleh) Likhtey Hain:

Tarjuma: “Huzoor ﷺ Ne Logon Ko Do Raaten 20 Raka’at Namaz E Taraweeh Parhai, Jab Teesri Raat Log Phir Jama Hogaey To Aap ﷺ Un Ki Taraf (Hujra E Mubarak Se Baahir) Tashreef Laaey, Phir Subah Aap ﷺ Ne Farmaaya, Mujhey Andesha Huwa K (Namaz E Taraweeh Tum Per Farz Kar Di Jaegi Lekin Tum Is Ki Taaqat Na Rakhogey”..
(Talkhees Ul Habeer, Jild#2, Page#21, Matboo’a Al Madinah Tul Munawwarah)

4) Ibn-E-Shaiba Aur Tabarani Kabeer Main Aur Baihaqi O Abd Ibn-E-Hameed O Bagwi Ne Riwaayat Ki
Tarjuma: “Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan Kartey Hain K Huzoor ﷺ Ramazan Ul Mubarak Main Witter K Ilaawa 20 Raka’at Taraweeh Parh Kartey They”..
(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba, Jild#2, Page#164, Raqam Ul Hadees#7692, Matboo’a Maktaba Tur Rasheed Ur Riyaaz)
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild#2, Page#496, Raqam Ul Hadees#4391, Matboo’a Makatab Daar Ul Baaz Makkah Tul Mukarramah)
Is Se Maloom Huwa K Khud Huzoor ﷺ 20 Raka'at Taraweeh Parhtey They..

5) Imam Tirmizi (Aleh Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Aksar Ahl-E-Ilm Ka Mazhab 20 Raka’at Taraaweeh Hai Jo K Hazrat Ali, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhuma) Aur Huzoor ﷺ K Deegar Ashaab Se Marwi Hai Aur Yahi (Taa’baeen) Sufiyan Souri Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Sha’fai (Rehmahullah) Ka Qol Hai Aur Imam Sha’fai (Rehmatullah Aleh) Ne Farmaaya Main Ne Apney Sheher E Makkah Main (Ahl-E-Ilm Ko) 20 Raka’at Taraweeh Parhtey Paaya”..
(Sunan Tirmizi Kitaab Us Soum, Jild#3, Page#169, Raqam Ul Hadees#806, Matboo’a Dar Ul Ehya Ut Turas Ul Arabi, Beroot)

6) Imam Tabarani (Aleh Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan Kartey Hain K Huzoor ﷺ Ramazan Ul Mubarak Main Witter K Ilaawa 20 Raka’at Taraweeh Parha Kartey They”..
(Tabarani Auwsat, Jild#1, Page#243, Raqam Ul Hadees#798, Matboo’a Daar Ul Haramain, Al-Qaahirah, Misar)
(Tabarani Kabeer, Jild#11, Page#393, Raqam Ul Hadees#12102, Matboo’a Maktaba Tul Uloom Wal Hakam Al Mosal)
(Maj’ma Uz Zawaid, Jild#3, Page#172, Matboo’a Dar Ul Kitab Ul Arabi, Beroot)

7) Imam Abdur Razzak (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Saaeb Bin Yazeed (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya K Hum Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) K Zamaaney Main Fajar K Qareeb Taraweeh Se Faarig Hotey They Aur (Witter Mila K) 23 Raka’aat Parhtey They”..
(Musannaf Abdur Razzaak, Jild#4, Page#261, Raqam Ul Hadees#7733, Al-Maktaba Tul Islaami, Beroot)

8) Imam Baihaqi (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Saaeb Bin Yazeed (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Hazrat Umar Bin Al Khattaab (Razi ALLAH Anhu) K Uhad E Mubarak Main Sahaba E Karam (Razi ALLAH Anhum) 20 Raka’at Taraweeh Parhtey They Aur In Main 100 Aayaat Waali Sooraten Parhtey They Aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) K Uhad E Mubarak Main Shiddat E Qiyaam Ki Wajah Se Woh Apni Laathiyon Se Taik Lagatey They”..
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild32, Page#496, Raqam Ul Hadees#4393, Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz Makkah Tul Mukarramah)

9) Imam Baihaqi (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Abu Khaseeb (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Humen Hazrat Suwaid Bin Gafla Maah E Ramzan Main Namaz E Taraweeh, 5 Tarweeihyon (20 Raka’at) Main Parhaatey They”..
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild#2, Page#496, Raqam Ul Hadees#4395, Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)

Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma: “Hazrat Abu Abdur Rehman Salma Se Marwi Hai K Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ne Ramazan Ul Mubarak Main Qaariyon Ko Bulaaya Aur Un Main Se Ek Shakhs Ko 20 Raka’at Taraweeh Parhaaney Ka Hukum Diya, Aur Khud Hazrat Ali Un Ko Witter Parhaatey They”..
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild#2, Page#496, Raqam Ul Hadees#4396, Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)

10) Imam Ibn-E-Abi Sheba (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “ Hazrat Shateer Bin Shakal Se Riwaayat Hai K Woh Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) K Ashaab Main Se They K Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ramazan Main 20 Raka’at Taraweeh Aur 3 Raka’at Witter Parhaatey They”..
(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba. Jild#2, Page#163, Raqam Ul Hadees#7680, Matboo’a Maktabah Tur Rashad Ur Riyaaz)

Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma: “Hazrat Yahya Bin Saeed (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Hazrat Umar Bin Al-Khattaab (Razi ALLAH Anhu) Ne Ek Shakhs Ko Hukum Diya K Woh Unhen (Musalmaanon Ko) 20 Raka’at Taraweeh Parhaey”..
(Musannaf Ibn E Abi Shaiba, Jild#2, Page#163, Raqam Ul Hadees#7682, Matboo’a Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)

Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma: “Hazrat Naafey Bin Umar (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Ibn-E-Abi Milkiya Humen Ramazan Ul Mubarak Main 20 Raka’at Taraweeh Parhaya Kartey They”..
(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba, Jild#2, Page#163, Raqam Ul Hadees#7683, Matboo’a Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)

Ek Aur Jagah Aata Hai:
Tarjuma: “Hazrat Abdul Azeez Bin Rafee (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya K Hazrat Abi Bin Ka’ab (Razi ALLAH Anhu) Madina Munawwarah Main Logon Ko Ramazan Ul Mubarak Main 20 Raka’at Taraweeh Aur 3 Raka’at Witter Parhaatey They”
(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba, Jild#2, Page#163, Raqam Ul Hadees#7684, Matboo’a Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)

11) Imam Zehbi (Rehmatullah Aleh) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Hasan Basri (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Hazrat Umar Bin Al-Khattaab (Razi ALLAH Anhu) Ne Logon Ko, Hazrat Abi Bin Ka’ab (Razi ALLAH Anhu) Ki Iqtadah Main Qiyam E Ramazan K Liye Ikhatta Kiya To Woh Inhen 20 Raka’at Taraweeh Parhaatey They”..
(سیراعلاالنبلاء، ج ۱، ص 400 ، مطبوعہ موسستہ الرسالۃ بیروت)

Is Se Maaloom Huwa K 20 Raka’at Taraweeh Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Ki Sunnat E Mubarak Aur Sahaba E Karam Khusoosan Khualfa E Rashideen Ki Sunnat E Mubarak Hai, Jin K Baarey Main NABI AKRAM (Sallalaho Alehe Wassallam) Ne Irshad Farmaaya:

Tarjuma: “Hazrat Arbaaz Bin Saariya (Razi ALLAH Anhu) Se Ek Taweel Riwaayat Main Hai,…………… Pas Tum Per Meri Aur Meray Khualfa E Rashideen Ki Sunnat Ko Pakar Lena Laazim Hai Aur Un K Tareeqey Ko Mazbooti K Saath Daanton Se Pakar Lena Q K Her Biddat (Sayyiha) Gumrahi Hai”..
(Sunan Ibn E Majah, Jild#1, Page#15-16, Raqam Ul Hadees#42-43, Matboo’a Dar Ul Fikar, Beroot)
(Jamey Ut Tirmizi, Jild#2, Page#92, Matboo’a Maktabah Akramiya, Peshawar)

In Riwaayaat Se Maloom Huwa K Khud Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) 20 Raka'at Taraweeh Parhtey They Aur Ehed-E-Faarooqi Main To Is 20 Raka'at Per Amal Jaari Hogaya Tha, Hazrat Ibn-E-Abbaas Ali Abi Bin Ka'ab O Umar O Saaeb Ibn-E-Yazeed Wagerham Tamaam Sahaba (Razi ALLAH Anhumah) Ka Yahi Maamool Tha..

Ger Muqallideen Jo 8 Raka’at Taraweeh K Qael Hain Aur Is Per Bara Zor Detay Hain Aur Daleel Main Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) Waali Riwaayat Pesh Kartey Hain K:

Tarjuma: “Yaani K Nabi E Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) Ramzan Aur Ger E Ramazan Main Giyaara Raka’at Se Zaaed Nahin Kartey They”..

Yeh Istidlaal Durust Nahin, Q K Is Hadees Se Taraweh Ka 8 Raka’at Hona Har Giz Saabit Nahin Hota, Is Liye Umm Ul Momineen Hazrat Ayesha Siddique’ah (Razi ALLAH Anhu) Yahaan Aesi Namaz Ka Ziker Ker Farmaa Rahi Hain Jo Ramazan Shareef Main Bhi Parhi Jaati Hai Aur Ger E Ramazan Bhi,
Aur Taraweeh To Ramazan Hi Main Parhi Jaati Hai..
Chunaachey Yahaan Taraweeh Ka To Sirey Se Ziker Hi Nahin,
Balkey Tahajjud Ka Ziker Hai K AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) Ramzan Aur Ger E Ramazan Main 8 Raka’at Tahajjud Parhtey They Aur 3 Witter…

Shah Abdul Azeez Muhaddis Dehelvi (Rehmatullah Aleh) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) Ki 11 Raka’at Waali Riwaayat Namaz E Tahajjud Per Mehmool Hai, Is Liye K Namaz E Tahajjud Ramazan Aur Ger E Ramazan Main Hoti Thi, Jis Ki Tadaad Witter K Saath 11 Tak Puhanchta Hai,

Is Riwaayat K Tahajjud K Mehmool Honey Per Daleel Yeh Hai K Raawi E Hadees Is Riwaayat K Silsiley Main Kehtey Hain K Hazrat Ayesha Siddique’ah (Razi ALLAH Anhu) Ne Farmaaya, “YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Kiya AAP Witter Parhney Se Pehley Sojaatey Hain??
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Ne Farmaaya, Hamari Aankhen Soti Hain Dil Nahin Sota Aur Zaahir Hai K Witter Se Pehley Sona Tahajjud Hi Main Hosakta Hai Na Is K Ger Main..
(Fatawa Azeezi, Jild#1, Page#119, Matboo’a Mujtabai)

Lateefa:

Ger Muqallid Dar Asal Apney Nasf K Muqallid Hain, Isi Liye Inhen Ahl-E-Hawa Yaani Hawa Parast Kaha Jaata Hai, Jis Main Nafs Ko Aaraam Miley Wohi In Ka Mazhab Hai,

Hum In Ka Mazhab Aap Ko Dikhaatey Hain, Musalmaan Dekhen Aur Ibrat Pakren..

1) Do Matkey Paani Kabhi Ganda Nahin Hota, Lihaazah Kunwaan Kitna Hi Paleed Hojaey Is Ka Paani Piye Jaow..

2) Safar Main Chand Namazen Ek Waqt Main Parh Lo, Rawafiz Ki Tarah Kon Baar Baar Utrey Aur Parhey, Rail Main Bohat Bheer Hoti Hai..

3) Aurton K Zewraat Pe Koi Zakaat Nahin, Haan Janab Q Ho Is Main Kharach Jo Hota Hai

4) Taraweeh Sirf 8 Raka’at Parho Ker Aaraam Karo, Haan Sahib E Namaz Nafs Per Giraan Hai

5) Witter Sirf Ek Raka’at Parh Ker Soye Raho, Q Na Ho, Jald Namaz Se Chutkaara Acha

6) Ek Baar E Talaaq De Do, Sirf Ek Hi Waqey Hogi, Dubaarah Roju Hosakta Hai, Q Na Ho Is Main Aasaani Hai,

Garz K Jis Kaam Main Aaraam Ho, Wohi Is Ka Mazhab Hai

Lateefa:

Muslim Shareef Kitaab Ul Talaaq Main Hai K Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Aur Abu Bakkar Siddique K Zamaaney Main 3 Talaaq Ek Hi Hoti Thi, Hazrat Umar Ne Farmaaya K Logon Ne Is Main Jaldi Peda Kar Di, Lihaazah Ab Is Se 3 Talaaq Hi Waqey Honi Chahiyen,

Aaraam Talab Ger Muqallid Le Urey K Ek Dam 3 Talaaqen Ek Hi Hoti Hain, In ALLAH K Bandon Ne Yeh Na Socha K Kiya Umar (Razi Allah Anhu) Khilaaf E Sunnat Hukum Kar Saktey Hain, Aur Phir Lutf Yeh Hai K Aap Ne Yeh Qaanoon Banaya Aur Kisi Sahaba Ne Mukhalifat Na Ki,

Baat Sirf Yeh Thi, K Zamana E Nabawi Main Baaz Log Yun Keh Detay They,

“Tujhey Talaaq Hai, Talaaq Talaaq”

Aur Aakhir Main Do Talaaqon Ki Taakeed Kartey They,

Jesay Koi Kahey K,

“Main Kal Jaaounga, Kal Kal”

“Main Roti Khaounga, Roti Roti”,

Ab Bhi Agar Koi Is Niyaat Se Yeh Alfaaz Boley To Indallah Ek Hi Talaaq Waqey Hogi,

Zamana E Farooqi Main Log 3 Talaaqen Hi Denay Lagey,

Chunkey Amal Badal Gaya, Hukum Bhi Badal Gaya, Tabhi Aap Ne Yeh Hukum Naafiz Farmaya..

Is Mas’aley Ki Nihaayat Nafees Tehqeeq Mufti Ahmed Yar Khan Ki Tafseer Jild#2,

Aayat

الطلاق مرتان
(Parah#2, Surah#2, Aayat#229)

Ki Tafseer Main Dekhen, Jahaan Bohat Si Ahadees Se Yeh Saabit Kiya Hai K Ek Dam 3 Talaaqen Teen Hi Hoti Hain

Mazkoora Bala Hadees Jis Main Ger Muqallid Wahaabi 8 Raka’at Taraweeh Ka Istidlaal Kartey Hain, In K Bhi Khilaaf Jaati Hai Q K Agar Is Se Bilfarz 8 Raka’at Taraweeh Saabit Maani Jaey To 3 Raka’at Witter Ka Saboot Bhi Hota Hai, Lekim Wahaabi Hazraat Ek Raka’at Parhtey Hain, In Ka Yeh Haal Hai K Hadees Ki Ek Baat Ka Iqraar Kartey Hain Aur Dusri Ka Inkaar Kartey Hain.

M Usama Ali
About the Author: M Usama Ali Read More Articles by M Usama Ali: 4 Articles with 32518 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.