Mobile Fone...Hamari Jaan

(Kiran Sultan, Karachi)

Mobil Fone K Maujjid Garaham Bell Nay Kbhi Ye Na Socha Hoga K Us Ki Ijad Agay Ja Kar Dunia Main Tehallika Macha Day Gi Aur Dunia Ki Majbori Ban Jay Gi.

Mobil Fone Jahan Hamari Zarorat Hay Wahin Manchalay Noujawanoon Ki Dili Khwhish Bhi Hay,Mobil Fone K Nit Nay Sets Dekh Kar Unka Dil Aisay Machalta Hay Jisay Mirchoon Wali Biryani Kha Kar Pani Pinay Ko Dil Machalta Hay.

Raat K 3:00 Bajay Ap K Mobil Per Ek Adad Sms Aya Aap Nay Apni Neend Se Bhar Por Ankhain Kholi, Takkiye K Nichay Se Mobil Nikala,Ankon Ko Masalatay Huay Sms Parha To Likha Tha "Hahahahaha!!! Dekha Utha Dia Na......"Ab Ya To Aap Khamoshi Se Dobara So Jaye Ya Us Msg K Reply Main Us Shaks Ki Shan Main Qaseeday Parhain. Ya Aksar Ap Ko Koi Kahani Suna Kar Mazeed 10 Logo Ko Send Karnay Ki Farmaish Ki Jati Hay.

Aksar Parks Main, Rah Chaltay, P.C.O Per Ya Kise Restaurant Main Apko Log Fone Per Unchi Awaz Main Baat Kartay Huy Milain Gain Ab Ye Samajh Nhi Ata K Ap K Mobil Set Main Masla Hay Ya Phir Waqae Dosri Janib Kise Behray Insan Se Apki Baat Ho Rahi Hay. Ab In Ko Kaun Samjhay K Banda-E-Khuda Baat Karnay K Bhi Kuch Asool Hoty Hain...

Masjid Main Jamat K Sath Namaz Parhtay Huy Achanak Se"Main Jahan Rahoon, Main Kahin Bhi Hoon Teri Yaad Sath Hay.........."Ya Phir "Sajday Main Yoon Hi Jhukta Hoon,Tm Per Hi Aa Kar Rukta Hoon................" Chalnay Lagay To Gunha To Jo Milta Hay Wo Milta Hay Appko Apni Namaz Bhi Adhi Chorni Parti Hay Q K Namaz Khatam Honay K Bad Saray Namaziun Se Ap Nay Apni Shan Main Itna Kuch Sunna Hota Hay K Us Se Qadray Behtar Hay K Ap Apni Namaz Adhori Chor Dain. Ye Ek Aur Bemari Bhi Hamari Noujawan Nasal Main Kasrat Se Paye Jati Hay K Mobil Fone Main MP3, MP4 Ka Hona Lazmi Hay...Latest Songs Ko Fone Main Rakhna Aur Ringtone Per Set Karna To Ji Farz Hay.

Apko Rah Chaltay Buhat Se Log Headfone Se Mazeen Nazar Ain Gain Wajah FM Stations Hain..Bike Per Jatay Huy Kaanoon Main Headfones Lagay Hotay Hain Aur Wo Dunia Se Bekhabar FM Sunnay Main Masroof Nazar Atay Hain.

Kaam To Hamara Wo Set Bhi Karta Hay Jo Peelay Rang Ki Screen Wala Hay Aur Kaam To Wo Bhi Karta Hay Jo Is Waqt Ka Latest Set Hay Farq Hamari Soch Ka Hay, Hamari Tarjeeh Ka Hay?

Kiran Sultan
About the Author: Kiran Sultan Read More Articles by Kiran Sultan: 5 Articles with 8737 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.