Hum Larkiyan

(Zunaira, Sialkot)

Main Ek Larki Hoon Aur Meri Tarha Aur Bahut Se Larkiya Sochti Hoon Gi K Wo Kyun Paidha Hoi. Un K Jeena Ka Maqsad Kia Hai? Wo Ager Ek Beti Hai Tu Baap Ki Ezat Hai. Behan Hai Tu Bhayo Ka Maan Hai. Bewi Hai Tu Shoher Ki Ezat Hai. Ek Maa Hai Tu Bachoo K Liey Jannat Hai. Ek Aurat K Kitny Roop Hain. Beti, Behan, Bewi, Maan. Her Rishta Khubsurat Muhabbat Se Bhara Howa. Jo Larkiya In Rishto Ka Paas Rakhna Jaanti Hai Sharam O Haya Ka Paikar Hain. Wo Larkiya Phool Hain. Achi Larkiya Paidha Hi In Rishto Ka Maan Barhany K Liey Hoti Hain Apni Soch Sey Apni Sharam O Haya Sey. Ye Hi Hum Larkyun Ki Zindgi Ka Maqsad Hai. Aur Jab Hum Larkiya In Rishto Ki Ezat Ko Saath Ley Kar Gharo Sey Nikalti Hain Majbori Mein Ya Zarorat Mein. School K Liey Ya Colloge K Liey. Job K Liey Ya Kisi B Kaam K Liey. Un Ko Her Tarikey Sey Harasan Kiya Jata Hai. Gandey Jumlo Sey. Ghalat Harkato Sey. Buri Nazro Sey.Kyun? Jab Ek Larki Etny Saray Rishto Ka Paas Rakhti Hain Tu Mard Es Ek Rishtey Ko Ezat Kyun Nahi Dety Jis Ka Naam Larki Hai Aurat Hai. Kiya Aaj K Mardo Mein Mardo Wali Koi Baat Nahi Rahi.Wo Gher Sey Majbori Sey Ya Zaroorat Mein Nikili Hoi Her Larki Ko Bazaro Samajtey Hain.Akhir Kyun? Hum Larkiya Hawa Ki Betiyan In Ki Ezato Ki Hafazat Kon Kaary Ga? Kon? In Ko Wo Maan Wo Ezat Kon Dey Ga Jis Ki Wo Haaq Daar Hain. Chand Khotey Siko Ki Waja Sey Hum Hawa Ki Betiyo Ko Badnam Na Kiya Jaey.

Zunaira
About the Author: Zunaira Read More Articles by Zunaira: 3 Articles with 4364 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.