Kidney and Stone (Gurde Ki Pathri)

(dr_atique, bhiwadi thane)

Kidney Stone ( Renal Calculie)

Gurde Ki Pathri

Hamare Jism Ke Khas Aaza Me Se Gurda (Kidney) Ek Ahem Uzo Hai, Jo Ke Hamare Jism Me Blood Filter Ka Kam Karte Hain, Is Blood Filter Ke Dauran Gurde Hamare Jism Se Zahrile Mawad Ka Ikhraj Karte Hain Jaise Ke Uric Acid Aur Digar Fasid Mawad.

Gurde Me Pathri Banna Ye Gurde Me Hone Wali Bemario Me Sab Se Aam Hai, Yeh Bimari Aurto Ke Banisbat Mardo(Male) Me Zada Hoti Hai Aur Bacho Me Bahot Kam,

Gurde Ki Pathri Darasl Pather Ki Choti Surat Hoti Hai, Jo Ke Gurde Me Hi Banti Hai, Mukhtalif Qism Ke Kimiyae Azza Ke Zariye Ye Crystal Ki Shakal Ikhtiyar Kaarti Hai, Phir Ye Crystal Ek Dosre Se Milkar Pathri Ki Sakal Taiyaar Karte Hein, Yeh Crystal Jis Se Pathri Banti Hai Zada Tar Calcium, Oxalate,Uric Acid Aur Dawa(Medicine) Jaise Ke Magnesium Trisilicate Jo Ke Aant Ke Chale Ke Liye Istemal Hoti Hai Ke Lagatar Istmal Se Bate Hai.

Yeh Pathri Ret Ke Zarre Se Lekar Cricket Ball Ke Braber Ho Sakti Hai.

Sign And Symptoms(Alamat Wa Nishaniya)

Is Marz Me Kamar Me Peeth Ke Dono Janib Paslio (Ribs) Ke Niche Shadeed Dard Hota Hai, Yeh Dard Ahesta Ahesta Shuro Hokar Shadeed Surat Ikhteyar Kar Leta Hai, Is Marz Me Mareez Ko Itni Shadeed Takleef Hoti Hai Ke Mareez Pait Ko Pakad Kar Bister Par Tarapta Rahta Hai, Baaz Martaba Marz Ki Shidat Itni Hoti Hai Ke Marreez Qai (Vomiting) Kar Deta Hai, Shuruaat Me Mareez Ko Pishab Me Jalan Hoti Hai Aur Kabhi Kabhi Peshab Ka Rang Halka Pela(Yellowish) Hota Hai, Pathri Ka Dard Gurde Se Hota Hoowa Masana Phir Khushiya Aur Phir Kunj Ran (Thai) Tak Aata Hai, Peshab Ka Ahsas Bar Bar Maloom Hota Hai Lekin Khul Kar Nahi Hoti Hai Aur Baaz Martaba Peshab Bilkul Band Hojati Hai Jiski Wajah Se Ureamiea (Peshab Ka Zahar Khoo Me Aaja Na) Ka Marz Ho Jata Hai.

Investigation And Diffrential Diagnosis(Tashkhees Aur Tafreeque)

Tashkhees (Investigatio) Karte Waqt Is Ki Tafreeque (Diffretiated) Dard E Jigar(Liver Pain), Dard Shikam (Colic Pai), Dard Kamar (Back Pain) Se Karna Chahiye

1-Jigar Ke Dard Me Dard Shiddat Se Hota Hai, Yeh Dard Daayeine Janib (Left Side) Ki Nichli Paslio Ke Niche Hota Hai, Dard Wale Hisse Par Dabane Per Mareez Ahhhh Ki Awaaz Nikal Ta Hai.

2_Jabke Dard Gurda Me Dard Kamar Ke Janib Gurde Se Shuru Ho Kar Khushiya (Testis) Masana (Urinary Blader) Aur Kunj Ran (Thai) Tak Hota Hai.

3_ Pait Ke Dard (Colic Pain) Ki Shanakht Karna Aasan Hota Hai, Is Me Mareez Qabz (Costipation) Ki Shikayat Karta Hai, Ya Phir Bad Hazmi (Indigetion) Hoti Hai, Aur Is Me Dard Naaf Ke Ird Girs(Side)Hota Hai.

4_Kamar Me Dard (Back Pain) Me Mariz Kohle Ke Jod Me (Vertibral Joint) Me Dard Ya Lumbar Region Me Dard Ki Shikayet Karta Hai. Is Me Mareez Ko Pishab Me Koi Shikayet Nahi Hoti Hai.

Prevent And Precaution... (Perhez Wa Hidayet)
1_ Dard Ki Jagah Pe Garam Eint (Brick) Garam Kapde, Ya Garam Pani Ki Thali Rabar Ki Se Shikae (Heat) Karen.
2_Khane Me Milk Aur Milk Se Bani Aashiya Se Parhez Karen
3_Vegitable Jaise Tamater,Palak, Gobhi, Kakd(Cucumber) Se Perhez Kare
4_Aisi Chez Jinme Calcium Zada Ho Jaise Gohst Khastaur Se Beef Aur Cow Beef.Kaju Badam Akhrot Se Parhez Kare Aur Coffe And Tea Band Karde.
5_Pani Zada Pine Ki Koshish Karen Aur Waqt Hajat Pishab Na Roken.
6_Narial Pani (Cocout Water) Ka Istemal Zada Kare Aur Khane Me Gajar Aur Mushambi Ka Istemal Kare.

Treatmet... (Elaaj)

Unani Medicine...
Huwasshafee.........
Jawakhar 20 Gm Qalmishorah 20 Gm Zirah 10 Gm Sab Dawaoo Ko Safof Bana Len Aur 5 5 Gm Din Me 5 Martaba Is Temal Kare

2-Gajar Aur Musambi Ka Juice Aur Aadha Pani Mila Kar Istemal Ke Din Me Kae Baar

Homeopathy Medicie...
Rx

Berberis Velgeris Q
Is Dawa Ko 10 Drop Ek Gilas Pani Me Dalien Aur Pee Len Har Ek Ghante Me Yahi Kare

1_Lycopodium 200 Me Dein
2_Cantheris 30 Me Agar Pishab Me Dard Zada Ho To.

Note.. Kidney Stone Ek Dagerous Bimari Hai Is Coloum Ko Malomat Farham Karne Ki Liye Shaye Kiya Jaraha Hai Agar App Ko Khuda A Khwasta Is Marz Ke Shekar Hain To Fauran Apne Qareebi Doctor Se Rabta Qayem Karen.
Khatam Shud

Disclaimer: All material on this website is provided for your information only and may not be construed as medical advice or instruction. No action or inaction should be taken based solely on the contents of this information; instead, readers should consult appropriate health professionals on any matter relating to their health and well-being. The data information and opinions expressed here are believed to be accurate, which is gathered from different sources but might have some errors. Hamariweb.com is not responsible for errors or omissions. Doctors and Hospital officials are not necessarily required to respond or go through this page.

dr_atique
About the Author: dr_atique Read More Articles by dr_atique: 8 Articles with 219983 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.