Jadid Dunya Aur Us Ka Elm

(TAyyab Tahir, Jhelum)

Asalam Alaikum,

New Wolrd Oder Apnay Iqtitami Marahil Ki Taraf Barhta Nazar Aaraha Hai, Sagin Mashi Bohran Sir Per Mandla Raha Hai Aur Apke Amm Fahem Bebus Insan Is Bat Ko Samujh Ne Say Qasir Reh Gia Hai K Hum Say Ghalti Kahan Hovi Hai ? Hum Kaisay Is Wahshi Mashray Ka Shikar Bangay Kaisay Insani Hadod Ko Janay Anjany Main Kudh Apnay Hi Paun Talay Kuchal Gay ? Kaisay Hum Nay Apnay Bachon Ko Mashi Janwar Bana Dala? Jis Ka Maqsat Maan Ki God Say Hi Paesa Kamana Reh Gia Hai Aur Itni Hi Nahi Balkah Faqat Dolat Ka Bud Bana K Parhay Lekhon K Naam Per Ake Ajeb Jahilana Nezam Qaeem Kia Aur Pher Kudh Is Dolat K Khuda Say Tang Aagay.

Kabhi Kabhi Asa Lagta Hai K Ager Bud Hi Ki Parashtish Karni Thi To Kia Hi Acha Tha K Mitti Hi Ka Rahta Na K Dolat Ka Kam Say Kam Abrahim A.S Ki Sunat Per Amal Kar K Tornay Ki Hemat To Rakhtay Mager Afsus K Is Dolat K Bud Ko Tora Bhi Nahi Ja Sakhta To Hum Nay Apnay Haton Say Bana Dala Hai.

Nahjul Balagah Main Mola E Mutaqyal Ali Ibn E Abitalib A.S Farmatay Hain K Khuda Nay Tumharay Lia Haram Thora Aur Halal Ziadah Rakha Hai Pher Tum Kion Halal Chor Kar Haram K Pechay Jatay Ho Tumhara Rizq Kudha K Hat Main Hai Aur Tum Ko Ya Hokum Hai K Allah Ki Atat Karo Pher Tum Kion Mash K Pechay Bhaghtay Ho Auer Apnay Wajib Per Moon Mortay Ho ?..

Muqtasrun Ya K Mash Ki Zeme Dari Allah Subhana Tala K Zim Main Hai Jiss Per Hum Pareshan Hain Aur Jis Chez Per Hum Ko Pareshan Hona Tha Yani Allah Ki Atat Na Karnay Ki Pareshani Allah Ki Na Farmani Karnay Ki Pareshan Allah Ka Hudod Ko Pamal Karnay Ki Pareshan Is Say Hum Be Khof Hain.

Mager Ya Sari Batain To Hum Jantay Hi Hain Is K Natijay Main Ho Kia Humaray Sath ? Kia Hum Nay Is Per Ghor Kia Ya Nahi ? Hum Samujhtay Hain Kuch Khas Is Per Fikar Kar Hi Nahi Pay Us Ki Wajha Bhai Shayad Yahi Thi K Hum Ko Humarri Mash Main Is Qadar Ulhja Dia Gia Tha K Hum Apni Mash K Elawah Kesi Aur Chez Ki Fikar Karna Bhi Nahi Chahrahay Thay.

Baharhal Hum Samujhtay Hain K In Sab Ki Wajha Jihalat Hai. Mager Yahan Ake Sawal Uthta Hai K Hum Uper Ya Beyan Kar Chokay Hain K Jadid Dunya Ake Elmi Duya Mani Jati Hai To Pher Hum Ya Kaisay Kah Sakhtay Hain K Is Jadid Dunya K Log Jihalat K Shikar Bangay ?

Humaray Pass Mojod Talimi Nizam Kudh Ake Zanjir K Manid Humaray Nojawano Ki Zehni Aur Shaori Salahiyaton Ko Zabth Kar Leta Hai Natija Nojawan Mashray Say Pareshan Hai Hazaro Aqlaqi Pareshani Main Geriftar Aur Zilat Ka Shikar Hai.

Filhal Is Bat Ko Sabit Karnay Ki Zaroorat Nahi K Kis Tarhan Yahodi Qom Nay Dunya Ko Bewaqof Bana K Dunya K Passay Ko Munjamid Kia Aur Pher Dunya Ko Aje Is Batarin Bohran Per La K Chordia Aur Kahan K Abe Tum Jano Aur Tumhara Kam Janay Kahan Hain Abhi Vo 10 % Dunya K Baray Khandan Kin Ki Taraf Dunya Ka Pasay Khechta Chala Gia Aur Aur Abe Un Say Puchnay Wala Koi Nahi, Subh Say Pehlay Istimar Nay Hum Per Hokomat Kar K Apni Soch Humaray Darmian Raej Ki Us K Natija Ya Howa K Hum Apni Saqafat Say Hat Dho Bethay Magribi Nizam Humari Zeenat Ban Gia Hum Nay Un Ki Talim Aur Tarbiyat Per Ziadah Ghor Kia Na K Elahi Talim Aur Elahi Nezam Per .

Elm Jo Kudh Ake Asmani Aur Rohani Jazbay K Tehat Kar Farman Tha Mashre Main Vo Abe Zamini Aur Madi Ban Gia Hai, Zindagi K Kesi Bhi Shobay K Utha K Dekh Lijya Har Jagha Mojoda Insan Faqat Passay K Lia Kam Karta Nazar Aye Ga, Is Nizam Ko Kudh Faqat Taqat Nay Taqat K Lia Hi Raej Kia Yani Elm Taqat Ki Good Main Palnay Barhnay Laga Pehlay, Har Jadid Elm Pehlay Taqat K Pass Jata Vo Us Ko Apnay Maqasid K Lia Istimal Kartay Aur Pher Jo Bach Jata To Mazlum Awam K Pass Ata Vo Bhi Is Lia Nahi K Us Say Us Mazloom Awam K Kuch Bhala Hona Tha Balkay Is Lia K Us Bachay Howay Elm Say Hi Unhonay Apnay Lia Bher Bakian Pada Karni Thin Jo Din Rath Kam Kar K Un Ko Taraqi Yafta Banati Rahen Aur Kudh Pasti Ka Shikar Rahen.

Kaisi Ajeb Bath Hai K Ake Tarafh To Magrib Hai Ko Taraqi Per Taraqi Kia Ja Raha Hai Aur Dosri Taraf Mashriq Jo Apnay Paron Per Khara Hi Nahi Ho Para Raha Hai Tajub Hai Chalo Ager Ya Man Bhi Lia Jay K Maghrib Nay Kamyabi Kudh Apni Mehnat Say Hasil Ki Hai To Sawal Ya Pada Hota Hai K Is K Undar Humari Pasti Kahan Say Aa Gai Aur Ager Ya Kaisay Ho Gia K Pechlay 500 So Sal Main Hum Nay Ake Bhi Taraqi Ya Fikri Medan Main Kamyabi Hasil Nahi Ki Aur Vo Musalsal Hum Per Hokomat Kartay Chalay Gay Ya Kaisay Ho Gia ? Kiya Ya Ake Insani Zehan Qabol Karta Hai ? Hargiz Nahi

Buss Thori Si Fikar K Bad Hi Hum Is Natijay Per Aa Jatay Hain K Jang Fikri Thi Hum Ko Hun Honay Apna Kam K Lia Istemal Kia Humain Elahi Elm Say Dur Rakhan Aur Faqat Zamini Elm Is Lia Dia Gia K Hum Un Ka Allah E Kar Ban Kar Un Ki Khedmat Kartay Rahen Aur Aje Jab Dunya Mashi Bohran K Shikar Hai Un K Un K Vehshiyana Andaz Say Mall Lotnay K Natihay Say To Humari Gharanay Berozgari Ka Shikar Ho Gay Humara Parha Lekha Howa Bhi Bhokh Aur Faqay Ki Tarafh Lotta Ja Raha Hai Karoron Afrad Dunya Bhar Main Berozgari Ki Zindagi Guzar Rahay Hain Aur Ya Berozgari Kala Gora Parha Lekha Kesi Chez Ki Tameez K Baghar Insani Mashray Main Insanoo Ko Neglay Ja Rahi Hai Aur Hum Abhi Bhi Apnay Bacho Ko Is Ummed Bhi Un Ki Taleem De Rahay Hain K Shayad Halat Sahi Hon Gay To Un Ko Nokrian Faraham Ki Jaen Gi Un K Ghar Pher Say Roshan Ho Jaen Gay Aur Bhook Aur Pareshan Un K Gharon Say Nikal Bahar Kar Di Jay Gi ..

Mager Humary Samnay Ake Sawal Aur Bhi Ata Hi K Ager Itna Hi Insan Preshan Hai To Vo Yaqinan Apnay Perwar Digar Say Itna Hi Shikhwah Bhi Karta Ho Ga Pher Ya Kaisay Ho Sakhta Hai K Maan Say Bhi Ziadah Reham Dil Aur Shafqaat Karnay Wala Kaisay Hum Ko Is Saqt Pareshani K Alum Main Chor Sakhta Hai ? Nahi Ya Nahi Ho Sakhta Buss Humain Ya Ahsas Hota Hai K Hum Aje Jis Jagha Per Aa Pohonch Gay Hain Ya Faqat Nafarmani E Khuda K Sewah Aur Kuch Nahi Hai. Abe Hum Per Lazim Hota Hai K Hum Lot Chalen Us Den E Kamil K Andar K Jiss K Passs Dunya Ki Aur Aqrat Ki Har Pareshani Ka Hal Hai. Allah Subhan-O-Tallah Nay Hum Ko Is Kamil Den Dia Hi Is Lia Hai K Hum Us Per Chal K Is Jadid Dunya Ka Muqablah Kar Sakhen Aur Fatha-E-Makka Ki Tarhan Apnay Kirdar Say Dunya Ko Fata Karlen Aur Ake Asa Lashkar Tashkil Den Jo Imam-E-Zaman A.S Hazrat Imam Mehndi A.S Ka Nasir Aur Madadgar Sabit Ho .

Khuda Hum Ko Muhammad S.A.W. Wa Al-E-Muhammas A.S K Tufail Den Ki Basirat Aur Marfat Enayat Farmay, Ankhon Main Noor E Haq Jagmaga Uthay , Dil Haq Shanasi Sekh Lay, Aur Amal Neki Ki Taraf Rawan Dawan Ho Jaen .

W Salam