Taleem Ki Rooh

(TAyyab Tahir, Jhelum)

Taleem Asr E Hazir Ki Aham Zaroorat .Jitna Is Ki Ahmiat Ka Andaza Lagana Mushkil Ha Utna Ise Hasil Karna Mushkil Hota Ja Raha Ha.

Taleem Ka Avvaleen Maqsad Hamseha Se Insan Ki Zahni,Jismani Or Rohani Nashonuma Karna Ha.Agar Hum Ajj Ke Dor K Lihaz Se Baat Karen To Darasal Iski Rohani Ahmiat Kahin Kho Chuki Ha Or Uski Jaga Madyat Parasti Ne Le Li Ha.Aj Ki Taleem Sirf Is Lie Hasil Ki Jati Ha Ta K Achi Naukri Mil Sake.Ye Baat Kitni Had Tak Sach Ha Iska Andaza Aj Kal Ke Taleemi Mahol Se Lagaya Ja Sakta Ha Jase Asatza Ka Mukammel Tarbiat E Yafta Na Hona Or Bachon Ka Sirf Imtiehan Mai Pass Hone Ki Had Tak Asbaq Ka Ratna .Yun Taleem Ki Rohani Ahmiat Din Ba Din Kahin Khoti Ja Rae Ha.

Agar Taleem Ki Ahmiat Ko Dobara Ujagar Karna Ha To Is Ke Lie Asatza Ka Mukammel Tarbyat Yafta Hona Zarori Ha Or Sath Hi Walden Ka Farz Ye Ha K Bachon Ko Sabaq Rattane Ke Bajae Unhen Poori Tayyari Ka Moqa Faraham Karen ,Khel Hi Khel Mai Unki Asi Tarbiyat Ki Jae K Wo Ek Dafa Ka Yaad Kia Hua Sabaq Kabhi Na Bholen.Mumkin Ha In Koshishon Se Taleem Ki Rooh Phir Se Zinda Hojae Or Talib Ilm,Ilm Ko Bojh K Bajae Phool Samajh Kar Uski Khushbo Se Khud Bhi Mehken Or Poore Gulshan Ko Bhi Mehakin.