Uski Muhabbat La Mehdood Hai

(Sidra Tayyab, karachi)

Main Wujood Ki Chah Krti Hoon
Vo Wujood Ataa Karta Hai
Main Zameer Ki Chah Krti Hoon
Vo Mera Zameer Zinda Krta Hai
Main Dar Ki Chah Karti Hoon
Vo Raahain Meri Khatir Khulta Chla Jaata Ha Ma Sukoon Ki Chah Karti Hoon Vo Taskeeen Ki Chadar Mjh Pa Daal Deta Main Tahafuz Chahti Hoon Vo Har Afat K Agy Dhaal Ban Jata Hai Main Bulandi Maangti Hoon Vo Urooj K Takht O Taj Dkhaata Hai Main Izzat Maangti Hoon Vo Khushnoodi Deta Hai Main Sabar Maangti Hoon Vo Nafs Pa Qaabiz Huna Skhaata Hai Main Shukar Karti Hoon Vo Nawaazta Chla Jata Hai Main Dar Maangti Hoon Vo Darwazy Dkhaata Hai Main Zar Maangti Hoon Vo Aetedaal Se Zar Nawaazta Hai Main Insaaf Maangti Hoon Vo Tarazoun Ki Paimaish Ko Sukn Krdeta Hai Main Arzooo Karti Hoon Vo Sammi Ban Jaaaata Hai Ma Khuwahish Krti Hoon Vo Dar Guzar Kbhi Nae Krta Main Maafi Maangti Hoon Vo Maghfirat K Dar Khol Deta Hai Vo Ruswa Nae Krta Mjhe Vo Akelaa Nae Chorta Mjhe Vo Rab Ha Mera Jo Sattar Maon Se Ziada Mjhse Muhabbat Krta Hai Main Khata Ka Putla Hi Q Na Bn Jaon Vo Ek Sajday Ma Mjhse Raazi Huny Ka Gur Jaanta Hai Vo Sazaa Nae Detaa Kbhi Bs Azmaaish Deta Hai Or Us Azmaaish Ma Bhi Mjhe Akela Nae Choorta Haan Vo Rab Hai Mera Jo Meri Parwa Karta Hai Jo Mjh Pa Nazar Rkhta Hai Vo Laa Nae Krta Vo Rab E Kareem Kbhi Laa Nae Krta Uski Muhabbat La Mehdood Hai Q K Usk Or Mere Rishtay Ma La Ka Koi Jawaaz Nae

 

Sidra Tayyab
About the Author: Sidra Tayyab Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.