SAFFAR SHUMAAL KAY(EPISODE 99)

(hukhan, karachi)

sweet floating water

Shaam Nay Paharon Ko Dhundhlaa Saa Kar Diya Tha Darya Ka Shore Barnay Laga Tha Hum Nay Ubh Rokna Nahi Tha Magar Jasay Hee Gilgit Ka Jinah Road Aya Humein Apnay Dost Khalid Ki Yaad Anay Laghi Hum Nay J S R Hotel Kay Samnay Niaz Ko Or Garee Ko Damm Lainay Kay Liye Rok Dia J S R Hotel Say Khalid Ka Wo Hee Muskarata Hua Chahra Nazar Aya Wqat Nay Iss Shkas Ka Zayda Kuch Na Beghara Tha Gilgit Kay Iss Chotay Sey Shaer Mein Humara Ye Dost Kafee Baray Dil Ka Tha Haal Ehwaal Kay Baad Hum J S R Hotel Kay Chotay Say Park Mein Baith Gaye Chai Or Waye Yeni Biscuit Or Nimko Kay Sath Gup Shap Hunay Laghee Karachi Kay Halltah Ki Tra Ubh Gilgit Ko Bee Nazar Lagh Gai Thee Khalid Wesay Hee Shalwaar Qamees Or Wascoat Mein Tha Ek Sacha Pakistani Jis Se Aap Har Topic Par Baat Kar Saktein Hein Life Or Loghun Kay Mutaliq Iss Paharon Kay Basee Ka Tajhraba Bahut Wasee Thaa Uss Kay Kaarobaar Par Bee Acha Asar Nahi Para Tha Uss Ki Awaaz Mein Ajh Bee Apnaiyat Thee Garee Kaa Pani Check Karnay Kay Baad Hum Nay Jald Hee Wapis Anay Kay Waday Kay Sath Khalid Ko Alvida Kaha Garee Ki Manzil Ubh Hunza Thee Andehraa Bar Raha Tha Humara 2 Ghantay Ka Safar Baqi Thaa Khalid Nay Kaha Tha Yaar Raat Ko Zayda Safar Nahi Karna Niaz Ki Nazrein Sarak Par Jamee Huien Thee Garee Ki Lights Mein Serf Kali See Sarak Nazar Aa Rahee Thee Humein Koi Bypass Par Safar Karna Tha Main Road Abhiii Ban Rahee Thee ,,,Yaar Wesay Ye Din Mein Safar Karnay Wali Patty Thee Saray Manzar Andhray Ki Nazar Hu Gaye Hein Sohail Nay Complain Ki,,,,,Haan Yaar Tour Plan Sahi Nahi Hay,,Kalim Nay Humaree Taraf Dekh Kay Kaha ,,,Badal Lo Apna Rahnumma ,,Navid Nay Kalim Ko Ankh Maari,,,Chal Niaz Garee Say Utar Jaa Navid Chalaye Ga Hum Nay Niaz Ko Kaha Niaz Bola Aao Ji Bismillah Ji Aao Ji Mein Pechay So Jata Hun,,,Yaar Leader Niaz Tha,,,Navid Nay Masnoi Hairat Say Kaha Hum Khamkha Ek Teesray Admi Ko Izat Detay Rahay Navid Ki Baat Par Niaz Bola Navid Pai Ye Sab Ju Ap Logh Kar Rahay Thay Iss Ko Izat Kab Say Pukara Janay Laga Hay,,,,Yaar Niaz Ye Modern Izat Hay Teri Samajh Mein Nahi Aani,,,Chal Dehaan Say Garee Chala Hum Nay Hunza Jana Hay Darya Mein Nahi(Jaaree Hay)Aa

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1193762 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.