Galat faisla

(Aliza, Karachi)

Aik Shehar Mein Aik Bacha Rehta Tha Wo Parhne Mein Bohut Hoshiyar Tha. Koi Kitab Uski Aankhon Ke Samne Aesi Nah Thi Us Ne Nah Padhi Ho. Jitna Wo Bada Hota Gaya Utne He Us K Dost Bante Gaye. Wo Jo Chahta Use Mil Jata Tha. Barre Ho Kar Wo Apne Ma Bap Ka Nam Roshan Karna Chahta Tha Kuch Banna Chata Tha. Phir Us Ne Civil Engineer Banne Ka Faisla Kiya. Woh Apne Ma Bap Ko Mehnat Mazdoori Ki Zindagi Se Nikal Kr Sukun Bhari Pur Asaish Zindagi Dena Chahta Tha. Kafi Mehnat Or Lagan Se Padhne Ke Bad Aik Din Aisa Aya K Wo Civil Engineer Ban Gaya Aur Degree Us K Hath Mein Agayi Us Din Us Ki Khushi Ka Koi Thikana Nahi Tha Ab Wo Apne Ma Bap Ka Sahara Ban Sakta Tha Usne Jobs K Liye Apply Karna Shru Kar Diye Aur Yahan Bhi Iski Qismat Ne Khoob Sath Dia Aur Bohut He Kam Arse Mein Uski Dubai Mein Job Ho Gayi. Wo Foran Se Bhi Pehle Dubai Jana Chahta Tha Lekin Us K Pas Ticket K Pese Tak Nahi The. Phir Uske Dada Ne Use Ticket K Pese Diye .Ab Wo Aik Achi Zindagi Guzar Raha Tha Jo Bhi Salary Use Milti Wo Apne Ghar Bhijwa Deta.Lekin Apne Future Ke Liye Usne Koi Sevings Nhi Ki. Phir Kuch Arse Bad Gher Walon Ne Uski Or Apni Sevings Se Gher Banwa Liya.Woh Gher Pese Bhejta Rehta Or Yahan Sab Khushi Se Zindagi Guzarte Rahe. Phir Us Ne Shadi Krne Ka Faisla Kiya.Woh Jald Az Jald Shadi Krna Chahta Tha.Or Kafi Kam Arse Me Usne Shadi KR Li. Usne Apni Biwi Se Kaha K Jab Mein Job Par Dobara Dubai Jaon Tou Tum Apni Ami K Ghar Chali Jana. Uski Biwi Chali Gayi Ab Uska Dubai Mein Bilkul Dil Nahi Lagta Tha Wo Pakistan Ana Chahta Thaor Ak Din Woh Dubai See Sab Chod Kr Wapis Ghr Apni Biwi K Pas A Gaya.Galat Faislo Ne Uski Zindagi Ajeeran Kardi. Aj Zindagi Mein Sab Kuch Hai Us K Pas Biwi Bache Lekin Phir Bhi Aik Job Ki Khali Jaga Hai Samandar Ki Lehrein Us K Armano Ko Baha Le Gayi. Lekin Himat Aur Hosla Agar Buland Kar Liya Jaye Aur Waqt Rehte Theek Faisle Kar Liye Jayein Tou Zindagi Khoobsurat Hojati He. Us K Liye Lekin Us K Galat Faislo Ne Uski Zindagi Ko Aik Aisi Andheri Jaga Bhej Dia Jahan Se Wapsi K Liye Use Gir Gir K Uthna Parrrga Himmat Aur Hosla Lana Hoga Aur Sath Sath Apne Piyare ALLAH Se Shukar Baja Lana Hoga K Jo Kuch Hua Wo Us K Haq Mein Behter Hai Aur Age Use Khush Reh Kar Aur Dosro Mein Khushiyan Bant Kar Apne Ap Ko Mutmain Karna Hoga Kiyunki Dunia Gham Zada Logo Pe Has Ti Hai Agar ALLAH Ne Chaha Tou Tofan Tham Jayega Aur Wo Aik Din Achi Job Hasil Kr Lena Ga
 

Aliza
About the Author: Aliza Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.