Zainab Meri Behan Thi..

(Quratulain, sukkur)

Zainab Jesi Pata Nahi Kitni Roz Masal Di Jati Hain.. Bhut Sharam Ki Baat Hai Humare Liye Bhi Or Humari Government K Liye Bhi.. Us Yazeed Ne To ZAINAB K Naam Ka Bhi Bharam Nahi Raakha .. Aisa Karte Waqt Usko ZAINAB Ki Shakal M Apni BETI Nazar Nai Aii..?? Aise Krne Wale Insaan Ko Zinda Bhi Jala Dia Jae To Kum Hai Per Kya Humari Government Ka Dil Nh Dehla ZAINAB Ki Shakal M Meri Government Ki Beti Bhi To Ho Skti Thi Ye Sochoo Hmare Huqmarano .. JAGO PAKISTAN Walo… Is PAKISTAN Mein Kya Ho Raha Hai Kuch Socho Koi Hal Nikalo… Aab To Ghar Se Nikalte Waqt Bhi DARTI Hai Is PAKISTAN Ki BETI.. Agar Yun Hi Chalta Raha To Humare Watan Mein Betiyan Parhne Likhne Se Bhii Darne Lgy Gi.. Or Humare Khandan Jahil Bane Gy Phr Yaha Isi Traha K Bhut Yazeed Ban’ne Lgy Gy … Mujhe To Lagta Hai Us Shaksh Ki Shakal To Yazeed Jesi Hogi .. Jis Ne Us Kali Ko Masal Dia Uski Maasoom Awaz Ko Chup Karwa Dia . Ab To Yahan Na Beta Mehfoz Hai Or Na Hi Beti.. Aisa To Jahalat K Zamane Mein Hota Tha K Jab Beti Paida Hoti Thi To Usy Zameen Mein DAFAN Kardia Jata Tha Pr Yahan To Aziyat De K Maar Dete Hain FARQ Koi Nahi Hai Dekha Jae To Baat Wahi Hai.

Aakhir Kab Tak Ye Sub Hota Rahy Ga.. Is Pakistan Ki Her Beti Ko Mehfoz Kro Gay To Tumhari Bhi Beti Mehfoz Rahy Gi.. Abhi Bhi WAQT Hai Huqmaraan Sahib Koi Hal Talaash Kro Warnaa Yahan Parhi , Likhi Betiyan Nahi Balky Dari Huwi Sehmi Huwi Larkiyan Mile Gi. Kuch Aisa Karo K LOGON Ko Betiyon Per Afsos Nahi FAKHAR Ho..

Who Wehshii.. Kya Jane Usne Aik Khandan Roond Dia Hai Us Phool K Jo Din Thy Khailne K Us Wqt Usne Kis Aziiyat Ka Saamna Karna Para ..

Mera To WAQT Hi Nahi Guzarta Ye Soch Soch Kar K Itne Din Guzar Gaye K Humari Government Aabhi Tak Us Wehshii Ko Talash Na Kr Saki Our Abi Tak Who Shaksh Khulaa Ghum Raha Hai.. Agar Yahan Kisi Aameer Ki Beti Hoti To Aabhi Tak Who Wehshii Yun Zinda Na Ghum Raha Hota .

Is QASOOR K Shehar Mein Rehne Wali Bachi Ka Kya QASOOR Tha Jo Ahi Tak Kisi Ne Koi Insaaf Na Le K Dia ..? Maa Baap Ki Ladlli ZAINAB Kya Kya Jhail Gai Is Nanni Si Umar Main Humaisha K Liye Us Phool Ko Usk Maa Ki Nazron Se Dur Krdia Jo Aik  Minute Bhi Apni Maa K Baghair Nahi Reh Sakti Thi .. Aise Huqmaran Ko Dekh Kar Dil Karta H Zameen Khul Jae Or Us Main Saamaa Jau Jahan Humari Hifazat K Liye Koi Nahi Jahan Humari Sunni Nahi Jati . Humare Yahan Agar Koi Zulm Ka Shikaar Ho Jae To Shamaa Roshan Karne To Her Koi Chala Ata Hai Per Us Zulm K Khilaaf Bolne Ki Himmat Kisi Mein Nahi ..

Main Apni Government Se Yeh Guzarish Krna Chahti Hun K KHUDA K Liye Is PAKISTAN Ki AURTOON Ki Hifazat Ki Jaye Enhe Ink HAQ Ko Istemal Krne Ki Islaah Ki Jae Our Aise Wehshiyon Ko Is Tarah Ki Saza Di Jae K Aaj K Baad Koi Aisa Krne Ka Soche Bhi Nahi …

“Bd Se Bd Tar Kis Liye Hain HALAAT Socho Zara”

“Kiu Musalsal Nit Nai Aafaat Hain Socho Zara”

“Kiu Taluh Hota Nahi Suraj Tumare Waste”
 

Quratulain
About the Author: Quratulain Read More Articles by Quratulain: 2 Articles with 2010 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.