Aakhri Awami Inquilab

(Nadeem Abbas Jafri, karachi)

Asalam Alaikum ! mere pyare humwatan dosto main 31 saal main 2 Army Govt,1ghair jamati Govt aur 5 jamati govt's dekh chuka hoon jabke 6th period 2008 ke Election se start hua hai. Main khud Amli Siyasat se 11 saal wabista raha hoon aur 1993 se la taluki karne ke baad sirf Vote Cast karta hoon. Main ek anjaney khauf ko mehsoos kar raha hoon aur awam ko us se aagah karna mera Ahem Qaumi fariza hai.

Maine jitni Govt's ka zikar kia hai un main faraq sirf Chehron ka ya choti moti Policy's ki tabdili ka hai iske siwa kuch nahi. Lekin ab main jis baat ka zikar karne ja raha hoon woh pakistan ki taareekh main ek aisa baab raqam kare gi jisey aap Tehreek-e-Pakistan ke baad se is Qaum ka sabse bada Inquilabi Saniha keh saken gay. Pakistan ki ek Siyasi Jamaat yeh daawa karti hai ke usne ghareeb tabqe ke logon ko Aiwano main bheja hai is per mera sawal yeh hai ke kya woh ghareeb tabqe ke log Aiwan main janey ke baad bhi ghareeb hi rahe? aaj Ghareebon ki hakumat Qayem karne ke daawey daar yeh bata saktey hain ke kitne Taxi Driver, Rikshaw Driver, Bus Driver, Rozana Ujrat per kaam karne waley mazdoor, fixed sallery per kaam karne waley afraad, Educated be rozgaar Aiwan main bethay hain? aur agar aise log Aiwan main aajayen to kya woh apni pehli haisiyat per Qayem reh saken gay? Misaal ke tor per Lahore main ek Pakorey Samosey bechne waley ka beta aaj ek Siyasi Party ka kaleedi Member hai kya uska baap ab bhi Pakorey Samosey bechta hai?

1988 ki sindh Govt main wazir-e-aala ke ek adviser Laundry Shop chalatey they lekin Advisor ban janey ke baad woh Laundry Shop bhi band ho gayi aur woh mosoof wahan kabhi nazar nahi aaye. Meri baat ka lub-e-lubaab mukhtasir yeh hai ke Pakistan main Khushhali ka Inquilab woh Tabqa layega Jo apne Zameer ko Anmol samjhta hai aur usey kisi qeemat per nahi bech sakta Aiwan-e-Iqtadaar main ja kar bhi apni wohi haisiyat yaad rakhe ga aur Iqtadaar per birajmaan hona apne Maali Faidey ke liye nahi haqiqatan Qaum ke ek Khadim ki haisiyat se anjam dega us din Pakistan Khushaali ki taraf gaamzan hoga jiska Khuwab Allama Mohd Iqbal ne dekha tha aur Mohd Ali Jinnah ne Amli Jaama pehnaya thaa,

Awam Ki Taaqat Vote Ke Liye Bohat Baar Sarf Hui ab Awam Sirf Apne Liye Iqtidaar ka Hasool Mumkin Banayen Gay aur Uski Qeemat Pesha war aur Khandani Siyasat karne walon ko Zaroor Chukani Hogi (Allah Ki Madad Aur Fatah Qareeb Hai) Allah Hamara Hami-o-Nasir Ho Pakistan Zindabad

Nadeem Abbas Jafri
About the Author: Nadeem Abbas Jafri Read More Articles by Nadeem Abbas Jafri: 10 Articles with 13858 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.