Imandaar Tajir K Liye Khushkhabri

(Chiraghdeen, Karachi)

Ek Hadees Ka Mafhoom Hey Keh Imandar Tajir Jokeh Islam K Sharai Usoolon Key Mutabiq Karobaar Kerta Hey Wo Kal Yani Qiamat Mein Ambiya-E-Kiram (A.S.), Siddiqeen (R.A.) Aur Shohda-E-Kiram (Reh. A.) K Saath Uthaya Jaega, Yani Jo Achhey Mamlaat ALLAH Pak Inn Barguzeedah Bando K Saath Kareinge Wohi Iss Imandar Tajir Key Saath Bhi Honge.

ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Ney Jitni Bhi Makhlooqat Paida Fermai Hein Unmein Sab Sey Bara Rutba Insaan Ka Hey, Insano Mein Sab Sey Bara Rutba Musalmano Ka Hey, Her Nabi Key Manne Waley Mazhab-E-Islam Per Hotey Hein, Rasool-E-Pak (S.A.W.) K Manney Wale Musalaman Kehlate Hein, Rasool-E-Pak (S.A.W.) ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Ke Akhri Nabi O Rasool Hein Aur Aap (S.A.W.) K Baad Ab Koi Nabi Ya Rasool Nahi Aaeinge.
 
Muslamano Mein Tabqaat Ki Jo Darja Bandi Hey; Quran Pak Ki Roo Sey Pehla Number Ya Pehla Aur Sab Sey Afzal Tareen Darjah Ambiya-E-Kiram (Alaihis Salam O Tasleem) Ka Hey Jabkeh Doosra Darjah Siddiqeen Yani Sahaba-E-Kiram (Rizwanullah-E-Alaihim Ajmaeen) Ka, Teesrey Darjeh Per Shohda-E-Kiram (Rizwanullah-E-Alaihim Ajmaeen) Aur Phir Chothey Darjeh Per Saleheen (Rehmatullah-E-Alaihim Ajmaeen) Hein Yani Jo Hazraat Sahaba-E-Kiram K Baad Hein, Jaisey; Tabaeen, Taba Tabaeen, Aaimma-E-Mujtahedeen, Buzurgan-E-Deen, Ghaus, Qutub, Ulma-E-Haq Waghera. Ambiya-E-Kiram K Barey Mein Tau Sab Jantey Hein, Kam O Besh 1,24,000 Ambiya-E-Kiram (A.S.) ALLAH Pak Ney Maboos Fermaey Jin Mein Sey Sirf Chand Ka Zikr Fermaya, Aap (SallALLAHu Alaihe Wasallam) Key Wo Tamam Ahle Bait Keh Jo Aap (S.A.W.) K Dunya Sey Parda Fermane Sey Qabl Iss Dunya Mein Majood They, Unn Sab Ka Shumar Bhi Sahaba Aur Sahabiyat (R.A.) Mein Hota Hey.
 
Shohda-E-Kiram Jin Ke Bare Mein Fermaya Gaya Keh “Wo Zinda Hein Unhein Murda Na Kaho, Ham Unhein Rizq Detey Hein Magar Tumhein Unki Zindagi Ka Shaoor Nahi” Jab Yeh Keh Diya Gaya Ke Tumhein Unki Zindagi Ka Shaoor Nahi Tau Phir Kisi Ko Iss Barey Mein Justujoo Kerney Ki Bhi Ijaazat Nahi Sirf ALLAH Tabarak Wa Ta’ala K Fermaye Gaey Ahkamaat Per Hi Labbaik Kehna Hamarey Imaan Ka Hissa Hey.

Baat Ho Rahi Thi Imandar Tajir Ki, Ab Aap Dekhein Keh ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Ney Iss Imandar Tajir Ko Jokeh Na Tau Nabi Hey, Na Sahabi, Na Shaheed Aur Na Hi Koi Wali Waghera Siraf Ek Aam Musalmaan Hey Magar Karobar Wo Shariyet Key Usoolon K Mutabiq Kerta Hey Tau Sirf Itney Chhotey Amal Per ALLAH Pak Usko Kitney Barey Ajar Sey Nawaz Rahe Hein, Ab Itna Kuchh Janney Key Baad Bhi Agar Koi Musalman Tajir Imandari Sey Tijarat Nahi Kerta Aur Ashya-E-Khurdo Nosh Ka Zakheera Sirf Isliye Kerta Hey Keh Jab Market Mein Inn Ashya Ki Qillat Hojaeygi Aur Log Khaney Ki Chizon K Husool K Liye Pareshan Honge Aur Mun Mangi Qeemat Deney K Liye Tayyar Honge Tau Uss Waqt Wo Tajir Apna Maal Farokht Karega Takeh Ziadah Munafa Hasil Karey Tau Aap Dekhein Keh Uss Ney Ek Mamooli Munafey Ki Khatir Jis Munafey Ney Tajir Key Merney K Baad Isi Dunya Mein Reh Jana Hey Saath Nahi Jana, ALLAH Aur Uske Rasool (S.A.W.) Ki Baat Nahi Mani Aur Apney Aap Ko Itni Muqtadar Hastiyon Mein Shumar Kerwaney K Bajaey Apna Naam Jahannamiyo Ki Fehrist Mein Likhwaliya, Iss Sey Bara Bewaqoof Aur Kon Hoga?

Hazrat Imam Abu Hanifa (Rehmatullah Alaih) Jokeh Ek Bohot Barey Aalim-E-Deen Aur Faqeeh Hein, Pakistan Mein Basney Waley Musalmano Ki Aksaryet Fiqa-E-Hanafi Ki Pairokar Hey. Aap (Reh.Alaih) Ek Barey Tajir Bhi They, Aap Kaprey Ka Karobaar Kertey They, Aap Ney Ek Dafa Apney Ek Mulazim Ko Kuchh Kapra Deker Kisi Doosrey Mulk Bhaija Farokht Kerney K Liye. Jab Wo Mulazim Us Mulk Pohncha Tau Maloom Huwa Keh Kaprey Ki Shortage Hey Chunacha Uss Ney Taqreeban Ek Maah (One Month) Mazeed Intezaar Kia Aur Maal Farokht Na Kia Aur Jab Maal Ki Qeemat Taqreeban Double Hogai Tab Us Ney Maal Farokht Kia Aur Tamam Raqam Imam Sahab Ko Laker Di, Imam Sahib Ne Kaha Keh Maal Tau Itni Maliyet Ka Na Tha Jitney Tum Ney Paisey Diye Tau Uss Ne Pura Maajra Sunaya Jis Per Imam Sahib Ne Fermaya Keh Yeh Tum Ney Achha Nahi Kia Kisi Ki Majboori Sey Faeda Utha Ker Apney Maal Ko Ziadah Qeemat Per Baichna Najaiz Aur Haram Hey, Yeh Zaid Raqam Mein Nahi Loonga Na Hi Tumhein Doonga Keh Tum Inhein Un Logon Ko Lotao Kiyoon Keh Yeh Ab Mumkin Nahi Keh Kharidaro Ko Unki Raqam Lotai Jasakey Maloom Nahi Kon Kon Kharidaar Kahan Kahan Sey Aaey They, Iss Liye Yeh Zaed Raqam Faqiron, Miskino Aur Gharibon Mein Taqseem Kerdo Aur Aainda Aisi Koi Harkat Na Kerna Keh Jo Nadamat O Pishemani Ki Ho Aur ALLAH Pak Ki Narazgi Ka Ba’iss Baney.

Jin Tajiron Ney Mazi Mein Iss Tarah K Kaam Kiye Hein Aura B Ta’ibb Hogaey Hein Aur Wo Chahtey Hein Keh Kal Qayamat Mein Unhein Bhi Wo Maqam Miley Jo ALLAH Pak K Muqarrab Tareen Logon Ko Mileyga Tau Unhein Cha’hi’ye Keh Pehli Fursat Mein, Najaiz Tareqey Sey Kamaya Huwa Maal Foran Gharibon, Nadaron, Miskino, Bewaon, Yatimon Aur Deegar Mustaheqeen Mein Iss Niyet Sey Taqseem Kerdein Keh Aapka Wo Gunah Dhul Jaey Aur Aapki Niyet Iss Sadqey Per Sawab Hasil Kerney Ki Na Ho Kiyoonkeh Yeh Maal Aapka Nahi, Yeh Maal Un Logon Ki Taraf Sey Sadqah Shumaar Hoga Keh Jin Logon Sey Aapney Najaiz Tariqey Sey Wusool Kia Hey. Ab Agar ALLAH Pak Apkey Iss Amal Sey Khush Hoker Aapko Kuchh Ata’a Fermadein Tau Yeh Unka Karam-E-Khas Hey. ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Ham Sab Ko Deen Ki Sahih Samajh Ata’a Fermaey Aur Uskey Mutabiq Amal Kerney Ki Bhi Taufeeq Ata’a Fermaey. Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 191318 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.